Candle Stick Pattern
Candlesticks patterns technical analysis me tooles k tawar par istemal hote hen, jo k market me qeematon ki agli movement ki nishan-dahi (prediction) karte hen. Candlestick chart pattern candles ki tadad mukhtalif hoti hai, baaz candle stick pattern supply aur demand k zere-asar bante hen, to kuch market k top aur bottom me baane k baad apne reaction dekhate hen. Candlestick ki pattern demand aur supply k miqdar ko zahir karti hai.
Candlestick Pattern ki Aqsaam
Forex market me banne wali candlestick pattern ki teen main bari aqssam hen, jis se market me qeematen mutasir hoti hen, ye aqsaam darja-zel hai;
- Continuation Patterns
- Reversal Patterns
- Bilateral (Consolidation) Patterns
1. Continuation Patterns:
Candlesticks Pattern me continuation patterns wo pattern hote hen, jis k banne k baad bhi qeematen apne sabeqa trend pe tasalsul chalti hai. Ye pattern agar market k darmeyan me bante hen, to reversal pattern ki nisbat ziada successful rehte hen. Continuation pattern me qeematen aksar mamoli se tabdeeli to dekhati hen lekin apne sabeqa trend ko hi follow karti hai. Continuation patterns me, Matching High / Matching Low, Separating lines, Rising Three methods / Falling Three methods, Gaps (Tasuki gap, Gapping play, Side by side white lines) Three white soldiers / Three Black Crows, Rectangles pattern shamil hen.
Reversal Patterns:
Reversal patterns wo pattern hote hen, k jis k banne k baad qeematen apni trend badal deti hai, ye pattern agar qeematon k high price area ya low price area me bante hen, to ziada reliable hote hen, jab k market k darmeyan me kam asar dekhate hen. Reversal pattern continuation patterns ki nisbat ziada payedar hote hen. Reversal pattern bhi aik ya aik se ziada candles par mushtamil ho sakte hen. Reversal pattern me, Abandoned baby, Harami pattern, Engulfing pattern, Morning and Evening Doji-Star pattern, Hanging man and Hammer, Double Top, Double Top and Bottom, Head and Shoulders, Rising Wedge aur Falling Wedge pattern shamil hen.
Bilateral (Consolidation) Patterns:
Candlesticks chart patterns me kuch aise pattern bhi hen, jis k banne pe market k trend ki koi aik side ki wazahat nahi hoti, yani is k banne k baad qeematen continuation (tasalsul) aur reversal dono taraf k trend pe move kar sakti hen. Bilateral pattern banne k baad humen kisi aik side k breakout hone k baad confirmation candles ka intezar karna hota hai, us k baad hi hum is pe trading kar sakte hen. Bilateral patterns me, Symmetrical Triangle (Ascending Triangle aur Descending Triangle), Flags, aur Pennants pattern shamil hen.