Rising Window Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Rising Window Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Rising Window Candlestick Pattern


    Rising window candlestick pattern chart price main do bullish candles k darmeyan upward side par aik kicking type pattern hai, jiss main pehli candle aur dosri candle k darmeyan aik gap ban jata hai. Pattern ki pehli candle k high price (bashamole shadow or wick) aur dosri candle k lower price (bashamole shadow or wick) k darmeyan aik wazih gap ya khali jagah hoti hai. Rising window candlestick pattern aik bullish trend continuation pattern hai, jiss main shamil dono candles aik to bullish pattern k hote hen aur dosra ye candles aik dosre se upward side par gap main bante hen. Ye pattern prices main buyers ki mazboti aur upward side par prices ka mazeed move karne ka aik wazih indication hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (150).png
Views:	3
Size:	17.3 کلوبائٹ
ID:	12535926

    Candles Formation


    Rising window candlestick pattern prices main aksar aik waqfay k dawran banta hai, ye pattern waqfayk doaran events ya strong news ka sabab banta hai, jiss ki waja se fundamentals asarat assets ki prices ko teezi k sath upper push karte hen, pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	IMG_20220609_041920.jpg
Views:	1
Size:	23.1 کلوبائٹ
ID:	12535927

    1. First Candle: Rising window candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices k normal sabeqa trend ki akasi karti hai. Ye candle white ya green color main hoti hai, jo k shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, lekin real body ka wazih hona zarori hai.

    2. Second Candle: Rising window candlestick pattern ki dosri candle bhi same pehli candle k tarah bullish hoti hai. Lekin ye candle pehli candle k high price se above gap main banti hai. Dosri candle ka low price pehli candle k high price se wazih upside gap main hona chaheye. Ye candle bhi aik bullish body main honi chaheye, jo k shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.

    Explanation

    Price chart pattern par gap pattern hamesha assets ki bohut ziada high volitilety ki waja se bante hen. Ye volitilety aksar awqat aik khas waqfay k dowran prices par fundamental asarat ki waja se hota hai. Rising window candlestick pattern main bullish trend k dowran do bullish candles k darmeyan upward side par aik gap banta hai, jo k prices k bullish trend confirmation ki alamat hoti hai. Ye pattern do bullish candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle k high price aur dosri candle k low prices k darmeyan aik wazih aur clear gap hota hai. Ye pattern buyers ki market main mazboti aur prices ka mazeed bullish jane ka aik clear message hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (149).png
Views:	7
Size:	12.4 کلوبائٹ
ID:	12535928

    Trading

    Rising window candlestick pattern prices k uptrend main banta hai, aur iss pattern ki mazboti candles ki real body se pata chalta hai. Strong real body wali candles prices ko teezi k sath bullish push karegi, jo k resistance level se upward side par hoan chaheye. Pattern par Trading se pehe confirmation candle ka hona zarori hai, aur pattern lazmi resistance line k upward hona chaheye. Confirmation candle real body main bullish candle honi chaheye, jab k bearish candle banne ki sorat main trading ka khatra mol nahi lena chaheye. Ye pattern agar resistance level se nechay banta hai, to ye bearish trend reversal bhi ho sakta hai, iss waja se pattern ka resistance point k top par hona chaheye. Stop Loss pattern k sab se lower position ya pehli candle k bottom price se two pips below set laren.

    Click image for larger version

Name:	images (151).png
Views:	5
Size:	18.2 کلوبائٹ
ID:	12535925

اب آن لائن

Working...
X