Assalamu Alaikum Dosto!
Bearish Separating Line Candlestick Pattern
Bearish separating line candlestick pattern main dosre din ki candle previous din ki candle k same open price par open ho kar lower side par bearish real body k sath below close hoti hai. Bearish separating line candlestick pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik bullish candle hoti hai, jab k dosre din ki candle aik bearish candle hoti hai. Pattern ki dosre din ki bearish candle pehli din ki bullish candle k trend reversal k asarat ko kam karti hai, yani bearish candle bullish candle k open price ya lower side main khulti hai, jab k close bearish trend k mutabiq hoti hai. Ye pattern ki bearish trend main banne ki waja se trend continuation ka kaam karti hai, jo down-trend k dowran aik waqfa peda karti hai.
Candles Formation
Bearish separating line candlestick pattern main shamil candles bullish aur bearish pattern ki hoti hai, jo k prices k bearish trend continuation k leye istemal hota hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k same open point par open ho kar ussi k opposite direction main close hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bearish separating line candlestick pattern ki pehli candle market k current trend k opposite trend yani aik bullish candle hoti hai, jiss ka close price open price k se ooper hota hai. Bullish candle shadow samet ya uss k bagher ho sakti hai, jo k real body main hoti hai.
2. Second Candle: Bearish separating line candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k same open price par open ho kar lower side par close hoti hai. Ye candle pehli candle k bullish trend reversal ki koshash ko nakam banati hai, jo bearish trend main aik real body k sath banti hai.
Explanation
Bearish separating line candlestick pattern price chart par uss waqat banti hai, jab bhi sellers market main aik mamoli waqfey k baad dobara control hasil kar lete hen. Ye pattern prices k bottom par ya bearish trend main ban kar market k current bearish trend ko continue karwa dete hen. Pattern main shamil dono candles real body main honi chaheye, jiss main dosri candle pehli candle k open price par open hoti hai. Pattern ki banne ki psychology kuch iss tarah se hai, jiss main buyers price ko pehle ooper push karte hen, jiss se bearish trend k dowran aik bullish candle banti hai, lekin baad main buyers ki prices k top main mazeed dilchaspi nahi rehti hai, aur ussi waqat sellers market main dobara ziada active ho jate hen. Sellers k market main active hone se wo market ka dobara control hasil karte hen, aur bearish trend ko continue karwate hen.
Trading
Bearish separating line candlestick pattern trading k leye aik strong bearish signal deta hai, jiss se sellers market main entry karte hen. Pattern k baad aik bearish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main honne k sath sath dosri candle k bottom par close honi chaheye. Lekin bullish candle banne ki sorat main trade entre karne se parhez karen. Trend confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value darmeyan se below zone main honi chaheye. Pattern do candles ka hota hai, iss waja se stop loss ka istemal zarori hai. Stop Loss pattern k sab se higher position ya pehli candle k close price se two pips above set karen.