Assalamu Alaikum Dosto!
Trader vs Gambler
Forex trading beshak dunya ki sab se bari market hai, jiss main kuch bare players jin ko aam tawar par market maker kaha jata hai, trading k amal par asar andaz hote hen, lekin wo iss pore nizam ko akele control nahi kar pate hen. Q k forex trading pori dunya main business days k dowran open hota hai, aur aik andaze k mutabiq 5 to 6 trillions dollars ka daily base par trading hoti rehti hai. Forex trading main aam tawar par do qisam k investor trading karte hen, jin main aik jo trading ko proper analysis, planning aur discipline k sath saranjam dete hen, jab k dosre trading ko qismat samajh kar ankhen band karke trades open aur close karte hen, jo k na to trading plan k mutabiq hote hen, aur na hi un ka koi risk management ka amal hota hai.
Traders
Forex trading main dilchaspi se kam karne wale aur iss ko business samajhne wale ko trader kaha jata hai, jiss ki Kuch hososeyat hen;
- Forex trading main traders long term ahdaaf, munafa aur mustaqil mezaji par tawajah markoz karte hen.
- Traders hamesha aik behtareen trading plan ka intekhab karte hen, aur backtesting ka amal lazmi sar anjam dete hen, jiss ko wo har waqat istemal karta hai, aur apne trading ko asan banata hai.
- Risk management k ossolon par sakti se pabandi karta hai aur kabhi bhi ziada leverage se faida uthane ki koshash nahi karta hai.
- Traders sirf uss waqat trading karta hai, jab usse achah result ki tawaqa ho, aur market ki situation entry k leye perfect ho.
- Trading k dowran hone wale loss ko qabol karta hai, jab k jazbat ko bhi apne control main karta hai.
- Trading ko karobar samajh kar sar-anjam deta hai.
Gambler
Forex trading main traders k elawa aik dosre qisam k investors bhi hote hen, jin ka na to koi planning hoti hai aur na hi koi trading k koi risk related osol hote hen, inn ki tafseel darjazzel hai;
- Gambler types k traders forex trading market se bohut jald ameer banne ki koshash main hote hen.
- Gamblers ki koi khas trading strategy nahi hoti hai, bulkeh zubani baton par trading karte hen, aur kuch tweets ka sahara bhi lete hen, jiss se toss ki tarah "Yes or No" k base par trads lagate hen.
- Trading k dowran apne maximum leverage ka istemal karte hen, jab aik hi trade main apne account ko risk main dalta hai.
- Gambler tarteeb k bagher trades open karta hai, sath over-trading karta hai, jab k gher zarori trades lagane ki koshash karta hai.
- Jab bhi uss ko nuqsan hota hai, to uss ka mode kharab ho jata hai, aur wo ghusa bhi karta hai, yanni jazbaat ko control main nahi rakh sakta.
- Trading ko qismat keh kar azmane ki koshash main hota hai.