Tower Candlestick Patterns
Tower bottom and tower top candlestick patterns dono reversal candlestick patterns hen, jo k panch candles par mushtamil hote hen. Pattern k panch (5) candles me pehle teen (3) candles same colour k hote hen, jab k last do (2) candles opposite colour k (lekin apas me same colour) k hote hen. Tower bottom aik bullish trend reversal hai, jab k tower top aik bearish trend reversal pattern hai.
Tower Bottom Pattern (Bullish)
- Tower bottom candlestick pattern aik bullish trend reversal pattern hai, jo k bearish trend ya low prices area me paya jata hai. Ye pattern panvh mukhtalif candles par mushtamil hota hai, jis me pehle teen candles black colour k ya bearish candles hoti hen, jab k akhari do candles white color k ya bullish candles hoti hen.
Pattern ki Pehchan ka Qayrda:
- Tower bottom pattern k leye zarori hai, k matket ki mojoda qeematen down trend me hon.
- Pattern ki 1st candle aik bari real body wali candle honi chaheye, aam tawar par ye candle Marubozu candle hoti hai, jo k market ki oversold taqat ko zahir karti hai.
- Pattern me 1st candle k baad banne wali candles (2nd,3rd and 4rth) choti body wali black and white candles ho sakti hai, ziada tar ye candles Spinning top ya doji candles mumkin hai. In candles se qeematon ka mazeed teezi k sath nechay jane se rukawat (pause) ban jata hai.
- Pattern k 5th candle real body me aik bari white candle hoti hai, jo k qeematon k reversal ka signal de rahi hoti hai.
- Pattern k left side par banne wali 1st black candle ko left tower aur right side par banni wali bari 5th white candle ko right tower kaha jata hai.
Pattern ki Tafseel aur Trading ka Amal
Tower bottom qeematon ko oversold area me jo mazeed bohut low price me jane se rukti hai. Ye pattern aik strong bullish reversal pattern hai. Jis me panch (5) mukhtalif colours ki candles ho sakti hai, lekin 1st candle ka aik bari real body wali black candle (Marubozu candle) honi chaheye, us k baad banni wali 3rd, aur 4rth candles black aur white dono colour ki ho sakti hen, lekin ye candles real body me 1st black candle se choti honi chaheye, aam tawar par ye candle doji candles ya Spinning top candles mumkin hai. 5th number par banne wali candle trend reversal k leye bohut aham hai, q k ye aik bari real body wali white candle hoti hai jo k 3rd, aur 4rth candle se bari hoti hoti hai. 2nd, 3rd aur 4rth candles 1st aur last candles k darmeyan small body k sath banti hai. 1st black candle ko left tower jab k last white candle ko right tower kaha jata hai.
Tower bottom buy signal ki alamat hoti hai, pattern me agar last pe banne wali white candle 3rd aur 4rth candle k top se uper close hoti hai to ye confirmation signal hoga. Lekin agar ye candle body me kam hoti hai yo pher 6th candle ka intezar zarori ho jata hai aur wo bhi bullish candle honi chaheye. Stop loss k leye position sab se kam qeemat wali black candle ka lower position hoga.