Chart Kiya Hae Aur Chats Ke Iksaam Kon Se Hein?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Chart Kiya Hae Aur Chats Ke Iksaam Kon Se Hein?
    Forex Mein Trading Chart Kya Hae?
    Trading charts market kee price kay utaar charhaao ke aek categorization haey jo kay mukhtaliif timeframes main aap dekh saketey hain. Chart par aapko vertical axis yaa y-axis aapko price zaahirr karta haey jabb kay horizontal axis ya x-axis aapko time scale bataata hai. Price ko chart par baain say daain read kiya jaata hai aurrjo sb say daain janib price hoti haey wo current market price hoti hai. Charts kaa zaida use technical analyst karty hain jo kay sirf aurrsirf charts ko use kar kay aany waly dino main price movement ke peishangoi karty hain.
    Bila’shuba technical analysst charts ko zaida use kartey hein lekin charts ko fundamental analysts bhe bahut use karty hain kun kay ess say price sahi read hoti hai ourr pichla data bhe available hota hai. So fundamental analyst bhe kaafi zaida Trading charts kaa istemaal karty hain.

    Line Chart


    Line charts main main sirf mainly aek cheez shamiil hoti haey jo kay closing price hai. ourr ye closing price kise bhe timeframe main jab aap check karty hein to pata chalti hai. Kun kay jo traders daily trading karte hein un main aksar esy hoty hain jo closing price par zaida tawajha dethy hein aur open price un kay liey matter nahi karti hai.

    Click image for larger version

Name:	1C.jpg
Views:	4
Size:	70.5 کلوبائٹ
ID:	12532546

    Bar Chart

    Bar charts mukhttis timeframe main price bars par mushtamil hota hai, aur har bar chart par aapko us makhsoos time main price movement ko btaati hai. Har bar aapko highest value ourr lowest value us timeframe main btaati haey jo aap select karty hain. Jabb kay opening price aek choti c horizontal line left side main aapko btaati hai auur right side pe horizontal line closing price btaati hai. Agar closing price opening price say oper hoti haey to normally bar kaa colour green ya white hota hai. auur jab opening price closing price say oper hoti haey yo bar kaa color red ya black hota hai.

    Click image for larger version

Name:	2C.jpg
Views:	4
Size:	58.2 کلوبائٹ
ID:	12532549

    Candlestick Chart

    Yehh charts joo kay sab seyy zaida mashoor chart hain aur sab sey zaida istemall kiey jaaty hein yehh charts japan main introduce huy aurr thorey he time main baht zaida log istemaal karny lagy. Candlestick charts aur bar charts main itna zaida farak nahi hota haey candlestick chart main bhe aapko open, close, high, low price kaa pata chalta hai. Bar charts aek line ke tarha kay hoty hein lekin candlestick chart open price say close price tak aek full candle hoti hai. Zaida tar trader Candlestick charts he istemaal karty hain kun kay es say opening, closing ya low, high prices asaani say read ho sakti hain.

    Click image for larger version

Name:	3C.jpg
Views:	9
Size:	64.1 کلوبائٹ
ID:	12532550

اب آن لائن

Working...
X