Forex Mein Trader Ke Iksaam

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Mein Trader Ke Iksaam
    Traders ke mukhtalif types hote hein, aur har kisam ko different approach kay zariey kiya jata hai. Maslan aap agar thory time market main reh kar trade karna chahty hein to us kay liey different approach hogi aur lamby arsy kay liey market main rehny kay liey different approach hoti hai.

    Aapkay lieay yeh pataa lagaanaa bahout zaroori hae kay aap kiss type key trader hein our kess tarhaa ke trading aapko suit karti hai. Jis tarha ke trading aapko suit kary aurr aap comfortable mehsoos karin wo type kaam karrna chahey. Traders ke different types mandarja zail hain.

    • Scalpers
    • Day Traders
    • Swing Traders
    • Position Traders
    • Event’Driven Traders



    1) Scalpers jinko short term traders bhe kehty hein aur inke trades thory time key ley hote hein aurr chotey time frame meinn kaam kar kay apni positions ko chand seconds ya minutes tak hold karty hein aur market sy exit kar jaaty hain. Enka target thora hota haiaur ye day traders ke nisbat market main km time lagaty hain.

    2) Day traders Scalpers ke nisbat tohra bara time frame use ka=er kay intraday trading karty hein aur ye chand minutes sy ly kar channd ghantoon tak markeet mein stay karty hain. Day traders apni trades end time tak close kr dety hein ta kay market close hony k baad wala effect unkee trades par na pary.

    3) Swing Traders apni trades ko aek din sy zaida hold kartey hein aurr chand hafton tak bhe trades ko hold karty hain. Swing trader’s technical analysis ko fundamental analysis par tarjeeh dety hain. Albata wo aise news par nazar rakhty hein jo bht zaida market main volatility laa sakti hain.

    4) Position Traders tradon ko lambay arsy tak hold karty haijo kay chand hafton sy lay kar saalon tak ho sakty hain. Position traders matket main hony wali choti moti changes ko nahi dekhty. Aur bary timeframe par analysis kar kay trades ko hold karty hein aurr fundamental analysis ko zaida tarjeeh dety hain.

    5) Event’Driven Traders Technical analysis koo chor kar fundamental analysis ko dekhty hein aur market main news ke wajha sy jo impact parta haius doraan wo trading karty hain. Political ya economic events jesaa kay GDP, Non-Farm Payroll our employment figures ya elction weghra pe ye traders trading karty hain.

اب آن لائن

Working...
X