4 continuation candlestick pattern..,..
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    4 continuation candlestick pattern..,..
    Aslam u alaikum,

    Dear forex member umeed karta hun aap sab khairiyat se honge dear members ager candlestick pattern market ke semat mein tabdele ko indicate nahe karta hey to yeh aik tasusul pattern kay tor par jana jata hey yeh trader ke market mein rest kay period ko indicate karta hey jab market mein ghair yaqeene or ghair janaib dar price movement hote hey




    Doji;


    jab market open or close same price point pe ho to candlestick cross ya pluss kay neshan mein melte hey trader ko short body ko tallash karna chihay jes ke length different ho sakte hey
    yeh doji pattern buyer or seller kay mabane jado jahad ko zahair karta hey jes kay natejay mein dono taraf say koi faida nahe hota akallay aik doji ghair janaib dar signal hote hey laken yeh opposite signal paya jata hey jaisay bearish evening star or bearish morning star


    Spinning top cadle stick pattern;


    spinning top candlestick pattern aik short body mein hote hey jen lambai same hote hey pattern market mein bay yaqene ko indicate karta hey jes kay nateejay mein koi tabdeele nahe hote bulls nay price mein zada ezafa kar deya jab keh bears nay osay dobara nechay ke taraf dehkail deya hey spinning top ko zyada tar aik up trend or down trend kay bad aram kay period kay tor par jana jata hey



    Falling three method;


    three method formation pattern current trend ke continuation ke paish goi karnay kay ley estamal ke jate hey khah woh bearish ho ya bullish
    bearish pattern kay gernay kay three method kaha jata hey yeh aik long red body say banta hey yahan par 3 chote ce sabz body hote hein sabz or red candlestick sab bearish ke range mein majood hote hein yeh trader ko indicate karte hein keh bulls mein zyada takat nahe hey keh woh es trend ko revers kar saken



    Rising Three method;



    Rising three method bullish kay pattern mein falling three method kay belkul opposite hey es pattern mein 2 long sabz rang ke candles hote hein jo sandwiched ke range mein hote hein pattern es bat ko indicate karta hey keh kuch selling pressure kay bawajod buyer ka market pe mokamal control hey
    Ap Ka aik thanks bohat zrori ha

اب آن لائن

Working...
X