Range Market Mein Trading Kesy Ke Jaay?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Range Market Mein Trading Kesy Ke Jaay?
    Ranging Market
    Forex traders mostly market meiin kaffi time laga ker trends ko find karny ke koshish karty hain aur trend meiin trade lagaty hain. Lekkin baaz’awkaat market meiin koi khass up ya downtrend nahe zahir hota hai aur market sideways move karti hai. Sideways ka maylab hae1 point sy up jaati hae aur khas point sy down aa jati hai. Jab 1 ponit sy dosry point kay darmiyan matket move karti hai to usy range-bound market kehty hain.

    Neechay de gai diagram main aap dekkh sakty hain char jiss mein daily timeframe main range bound market kee movement aur phir breakdown key baad market ka downtrend dekhayaa gya hae.

    Click image for larger version

Name:	RANGE.jpg
Views:	2
Size:	59.7 کلوبائٹ
ID:	12531888

    Range Trading Ke Strategies


    Support aur Resistance:

    Aggar market aek range banaa chukki hae aur us kay support or resistance levels stong aap ney identify ker liey hain to aap us par trading ker sakty hain. Es k liey jab market support level par aate hae to aap buy ker sakty hain aur jab market resistance level par jaati hai to aap sell ker sakty hain. Ess main aapkay liey stop loss aur tke profit lagana bhe bahut easy hota hay.

    Iss mein aap buy-limit aur sell-limit kay pending orders ka istemaal ker sakty hain jiss say aap range tootny sy pehly tak achi trading kar sakte hein.

    Breakout aur Breakdown:
    Range market mein aek aur successful strategy yeh hay kay market range koobreak karti hay yo aap us mein trade laga sakty hain. Maslan matket range ma ghoom ri hay aur resistance level par hai aur agr us level koo torti hai to aap buy ke entry lay sakty hain. Esi tarha market jab Support level pe aayi hai aur uskoo break karti hai to aap sell ke entry lay sakty hain.

    Breakout our breakdown maen aap Buy’Stop aur Sell’Stop kay pending order kaa istemaal ker saktey hain.

اب آن لائن

Working...
X