Forex market aur stock market men fraq kia hai...? Ham jis bhi market mein kam kar ra

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex market aur stock market men fraq kia hai...? Ham jis bhi market mein kam kar ra
    Forex market aur stock market men fraq kia hai...?


    Ham jis bhi market mein kam kar rahe ho hamen use maarpeet ka knowledge Hona bahut jaruri hai kyunki jab tak hamen use market ke bare mein knowledge Nahin Hoga to ham usmein theek tarike se Kam Nahin kar sakenge isliye pahle hamen marketing ko samajhna chahie aur bad mein hamen apna karobar shuru karna chahie kyunki jab tak ham marketing ko Nahin samjhenge tab tak hamen kamyabi Nahin milegi.
    Stock market or forex market do market hoti hai aur donon mein traders kam kar rahe hote hain yah donon market mein kafi difference hota hai isliye hamen inko samajh Kar kam karna chahie aur inke bare mein knowledge Hona chahie aur aaj ham ISI topic per guftgu Karne Wale Hain.


    Stock Market:



    Stock market ek aisi market Hoti Hai jahan per bahut se traders broker ke through trading kar rahe hote hain lekin stock market ek aisi market Hai jahan per mukhtalif kism ki companies ke share per log trading karte hain aur jab unke shares ki floating hoti hai aur upar niche hoti hai to vah market mein seling aur buying karte hain aur Is Tarah se unki trading jari rahti hai stock market forex market se bahut hi mohtalif hoti hai kyunki is market ki ek makhsoos timing Hoti Hai jismein kam karna padta hai aur ismein companies ke share per kam karte Hain.



    Click image for larger version

Name:	images (14).jpeg
Views:	1
Size:	84.8 کلوبائٹ
ID:	12531812

    Forex trading market:



    Forex trading market ek international market hai aur yah 24/7 open rahti hai ismein ham Kisi bhi time kam kar sakte hain forex market mein ham currencies ke pair trading karte hain aur iske alava commodities IL gold vagaira per bhi trading Hoti Hai yah ek international market hai duniya ki sabse badi market hai ismein bahut se traders ek hi time mein trading kar rahe hote hain aur jis time ham chahe ham market mein Apne order open aur close kar sakte hain hamen Kisi kism ki koi pabandi Nahin Hoti Hai.



    Differences between Stock and Forex Trading Market:


    Forex market mein bahut bada volume hota Hai aur ismein takriban ek hi din mein 5 trillion dollars ki trade ho jaati Hai halanki stock market ka volume bahut hi kam hota hai aur ismein takriban 200 billian Dollar ki trade hoti hai.
    Forex market 24/7 hours open hoti hai aur ismein ham Kisi bhi time kam kar sakte hain aur stock market mein Is Tarah se Nahin hota hai stock market sirf 8 overs open rahti hai aur ismein sirf ham 8 avar ji kam kar sakte hain.
    Forex market mein bahut hi kam commission hota hai aur ismein ham bahut hi aasani ke sath trading kar sakte hain stock market mein commission bahut jyada hota hai aur ismein broker ko commission pahle Ada karna padta hai.

    Conclusion:

    Ham jis bhi market mein kam kar rahe ho hamen chahie ki ham muskan pahle knowledge hasil Karen Jab hamen acche tarike se knowledge ho jata hai to tab ham acchi trading kar sakte hain agar hamen achcha knowledge Nahin milta to fir hamari trading bhi acchi Nahin Hoti Hai isliye hamen pahle achcha knowledge hasil karna chahie taki ham kamyabi ke sath kam kar saken.

اب آن لائن

Working...
X