Economic Calendar Ke Importance
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Economic Calendar Ke Importance
    Economic Calendar Ke Importance:
    Trading mein success keyy liey behtareen tools main sey aik tool economic calendar hae. Economic calendar istemaal ker key traders koo sahi paata lagta hay kay market kise khass simtt main move ker rahi hae. Aur ess kay sath saath market kay bary main andaaza bhe lagaya ja sakkta hae kay market ka aglaa move buy k taraf hoga ya sell ke taraf hoga. Amumi torr par market jo sab sy zaida economic data asar’anndaaz hota hae us main GDP aur Non’Farm Payroll number waegehra haen. Ye economic news market parr kaafi zayda asar andaaz hotii haen aur behtarin trading opportunities farahum karti haen.

    Important Points:
    Taders daily basis parr economic calendar ka moshahida karty haen aur uss sy phir kisee currency pair par kesy trade karne hae ess baat ka andaza lagaya jata haey. Traders hazraat news aany sey pehly he es cheez ko anticipate karty haen aaur jis currency pair ya cross pair par trading karna hoti hae us main entry lena start kar dety haen. Essy economic events sy long term main forex market ke directions ka pata chlta hay, forex markets sy muraad yeh hae kay jo currency kise makhsoos news sy jurri hoti hae uske simat ka taaiyun kiya jaa saktaa hae.

    Economic Calendar ko daikhny aur uss ko maintain karney kay channd tareeky haen, lekin sabb sey common aur mashour tareeka yeh hae k jo online economic calendar platform mojoud haen un koo dekha jaay. Kun kay wo har cheez update rakhtey haen aur sath sath ap koo update kartey haen. Esy calendar ko read karney kay liey jab aap dekhin gy to aap ko date kay hiss aab sey news nazar aa rahi hoti hae aur sath main country ka jhandaa ya flag bhe nazar aata hay. Aik baat ko zehaan main rakhna zaroori hae kay mukhtalif mummaalik ke different influence global markets pe hae maslan ab USD dollar International currency hae aur pooori duniya main istemaal kee jaate hae to uska asar almost har currency par hota hae.

    Economic Calendar Types

    Leading Indicators:
    Leading indicators future main hony waali tabdeeliyon ke taraf ishara karty haen. Leading indicators short term prediction kay liey kaafi mufeed hoty haen kunkay yeh indicators economy change hoony sy pehly tabdeel hoty haen.

    Lagging Indicators:
    Lagging indicators economy tabdeel hony kay baad aaty haen. Ennka istemaal us wakat madadgaar hota hae jab koi confirm pattern kay liey kiyya jaay. Lagging indicator directly economic change kay liey predicted nahe karty haen.

    Leading indicators ke aik misaal ( "Retail Sales" ) hay jab kay laagging indicator ke misaal ( "Unemployment Rate" ) hay. Es kay elaawa Gross Domestic Product (GDP), Purchasing Manager Index (PMI), Consumer Price Index aur Home Sales weghra bhe bahut important indicators haen.

اب آن لائن

Working...
X