dear friend, forex main mainly three types kay pairs hotay hain jin ma major, minor aur exotic shamil hotay hain, major pairs wo hotay hain jin ma directly dollar involve hota ha aur minor pairs main dollor ki involvement nhi hoti, major currency pairs global level par trade kay liay ziada use hotay hain inki high liquidity ki waja sa ap in kay sath trade kar saktay hain, ziada tar trader sirf pehle he 2 types par trade karny ko prefer karty hain, Ap exotic pair par trade laga kar bethy hain or market unki moment he ni kar rahay to apko profit ya loss kesy ho ga. Market ki movement par he to profit or loss depend kartay hain
Major pairs:
Major pairs main wo pairs atay hain jo bhot ziada trading ma use kaye jaty hain. Kiu k ik to un ma liquidity bhot ziada hoti hai dosra unka spread bhot kam hota hai aur third inki brokage cost bhi bhot kam hoti hai. In main USD ki bhi involvement hoti hay, Kuch major pairs ye hai. EURUSD, USDJPY, GBPUSD
Minor pairs:
minor pairs main USD shamil nhi hota in ma EUR/GBP, NZD/JPY aur CHF/JPY wagera shamil hain, in ma high spread hotay hain aur liquidity aur volatility b normal hoti ha, in par trading kay liay bhi buyers aur sellers mojood hotay hain lakin major pairs ki nisbat hon gay, asian session kay doran liquidity low hoti ha jiski waja sa spreads high hotay hain, jb kay london aur newyork session ma liquidity high honay ki waja sa spreads low hotay hain, lihaza in pairs par trading kay liay hmain market aur is kay sessions sa aware rehna chaiay