Gross Domestic Product Aur Uski Ehmiyat

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Gross Domestic Product Aur Uski Ehmiyat
    Gross Domestic Product Kiya Hai?
    GDP yaa jiss koo Gross Domestic Product bhe kehty hain uska urdu main matlab majjmooei mulki paidawaar hay. Jesa kay alfaaz se zaher hay kay Gross domestic product mulkk main jitnI molk ke Paidawaar ya goods and services hote hain un koo jjama kar kay bnayaa jaata hay aur ye saalaana calculate kiyya jaata hay. Gdp main saari wo cheezen shamil hote han jo ussi saal main kise bhe mulk main new banaai jaati hain ya tiyaar hoti hain. Maslan agar aik saal main 1 lakh new gaariyan bani hain to unn ke keemay ko GDP main shamil kiyya jaata hai esi tarha aur bhee jo cheezen banti hain un sb ko shamil kiya jaata hai.

    GDP Ke Tafseel
    Gross Domestic Product hrr country main salaana calculation kay baad us ka number jaari kiya jaata hay aur GDP mulkk main jitne bhe new chezin banaai jaati hain ya bikti hain un kee qeemat ko jaama kar kay bnayaa jata hay. Ye baat zehan main rakhi jaay kay GDP main sirf wohii cheezin shamil hoti hain jo sirf peehle bar sale hote hain. Agar koi bhe cheez dobara ya phir repair ho kay sale ho to wo GDP main shammil nahi hoti hain, Haan jo cheez repair hoti ha for example agar gaari hay to usska tire to wo GDP ma shamil ho ga na kay dobara se pori garri ke keemat. GDP mulk ke tarakki ko show karta hay aur ye tarkki ke nishani hai.

    GDP Ka Economy Par Role
    GDP country ke maa’eeshat ke pehhchaan hay agar GDP zayda hotaa hay too us mulk main companies zayda banday hire karrti hain aur zayda salaries de jaati hain. Jis wajha se mulk ke taraaki zahir hoti hay. Ess kay bar’akas agar mulk ka GDP down ho raha ho to inflation bahut zaida bharrti hay aur beroozgaari ya unemployment bharti haiy. Jo kay mulk ke tanazli ke nishaani hota hay. GDP ko forex traders bahut zaida Importance dettay hain kun kay GDP say aany waly mahenon yaa salon main Economy par asraaat zahir karty hain. Agar kisee mulk ke economy ko positive momentum chaahey ho yaa uss kay GDP par sab zaida foucas kiya jaata hai. Forex traders jabb bhe analysis karte hain aur specially fundamental analysis main sab sy zaida esy ehhmiyat dee jaati hai. Technical analysts bhe GDP par lazmi nazar rakh kar technical analysis karte haen aur analysis main saari cheezin bashaamool GDP dekhty hain.

اب آن لائن

Working...
X