Assalamu Alaikum Dosto!
Deliberation Candlestick Pattern
Deliberation candlestick patteren bearish trend reversal signal dene wala pattern hai, jo aik wazeh uptrend ke baad yeh pattern amal mein aata hai. Deliberation candlestick patteren ki tashkeel teen bullish ya white candles par mushtamil hai aur jo price chart par bottom prices par banne wale three white soldier pattern se mushabihat rakhta hai. Deliberation candlestick pattern ki tashkeel mein pehli candlestick aik lambi bullish candle hai, jis ka upper ya lower side par shadow bohat kam banta hai. Pattern ki baqi do candles yani dosri aur teesri candles bhi bullish candles hoti hai. Pattern ki dosri aur teesri candle ki real body pehli candle k muqabele main kam hoti hai, lekin dosi candle k upper side par shadow bohut lamba hota hai. Pattern ki dusri aur teesi candle pehli candle k real body main open hoti hai,j jiss mein teesri candle aik small marubozu candle hoti hai.
Candles Formation
Deliberation candlestick patteren prices k top main ziada buying k baad market k mumkina bearish trend reversal ka ishara deta hai, jo k teen musalsal bullish candles par mushtamil hota hai. Ye pattern bullish candles ka hone k bawajood bhi bullish trend confirmation k muqabele main prices ko downtrend ka rasta deti hai. Pattern main candlestick ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Deliberation candlestick patteren ki pehli candle aik bullish candles hoti hai, jo k real body main strong candle banti hai, aur ye candle prices k uptrend ki tasalsul ki alamat hoti hai. Pattern ki pehli candle aik bagher upper aur lower shadow ki hoti hai, jiss ka open price close price se ooper hota hai.
2. Second Candle: Deliberation candlestick patteren ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah aik bullish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k real body ya uss k close price k baad open hoti hai, jo k upper par close hoti hai. Iss ka candle ki real body pehli candle k muqabele main kam hoti hai, jab k upper side par aik lamba shadow hota hai.
3. Third Candle: Deliberation candlestick patteren ki teesri candle bhi same pechli do candles ki tarah aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle k real body ya uss k close price par open ho kar upper par close hoti hai. Ye candle ziada tar pechli dono candles se size main kam hoti hai, jab k ye candle aik marubozu candle hoti hai.
Explanation
Deliberation candlestick patteren chart par teen lagatar bullish candles ka aik majmoa hai, jiss k leye market ka top area hona zarori hai. Ye pattern teen bullish candles par mushtamil hai, jo k prices k leye bearish trend reversal pattern ka kaam karta hai. Pattern dekhne main same three white soldier pattern jaisa hai, q k teeno candles bullish hone k sath sath higher high par close hoti hai. Pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish Marubozu candle hoti hai, last teesri candle bhi aik Marubozu candle hoti hai leki size main pehli candle se bohut small hoti hai. Pattern ki dosri candle upper shadow k sath hoti hai, jiss ki real body pehli candle ki nisbat kam hoti hai.
Trading
Deliberation candlestick patteren main pehli candle strong bullish trend ki alamat hoti hai, lekin baad wali dosri aur teesri candles market main bulls ki kamzori zahir karti hai, jo k market main dilchaspi lena kam karte hen. Pattern ki teeno candles ka bullish hone ki waja se confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main bearish honi chaheye aur last bullish candle k bottom par close honi chaheye. Pattern k baad bullish candle banne se pattern invalid tasawar hoga, jab k trend ki confirmation indicators se bhi ki ja sakti hai, aggar CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value overbought zone main trade kar raha ho. Stop Loss pattern k sab se top ya teesri bearish candle k high price se two pips above set karen.