Important information about "Dragonfly Doji Candle Pattern"
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Important information about "Dragonfly Doji Candle Pattern"
    Dragonfly Doji Candle Pattern Kia Hai?

    Dragonfly doji candlestick prices k bottom ya bearish trend main banne wali aik single candle pattern hai, jiss main candle bagher real body k sath lower side par long shadow hota hai. Dragonfly doji candlestick bulls aur bears, buyers aur sellers, supply aur demand, risk aur profit ke darmiyan muqabele ki aik kahani hoti hai. Jiss main market main aik single candle bhi prices k top ya bottom main prices par asar andaz ho sakti hai. Dragonfly doji candle ki ye haseyat hai, k ye bullish ya bearish dono soraton main bullish trend reversal k asarat rakhti hai, jiss k leye prices ka bottom level ya bearish trend main hona zarori hai. Kisi bhi assets k matloba timeframe main jab bull prices ko mazeed bottom level par jane se mana karte hen to uss sorat main dragonfly doji candle ban jati hai. Dragonfly doji candle prices k bottom main uss waqat ban jati hai, jab bhi bear market main apna control baqarar rakhne k leye prices ko downward push karti hai, lekin bull uss waqat ziada active ho jate hen, jiss se wo prices k nechay jane main rukawat peda karte hen. Dragonfly doji candlestick aik single candle pattern hai, jiss main aik timeframe k dowran prices bottom level par bullish trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle bullish aur bearish dono soraton main bullish hi hoti hai. Jab k ye candle bagher real body main hoti hai, jiss k lower side par aik long shadow ya wick hoti hai. Candle ka shadow aik to lamba hota hai, dosra iss candle k upper side par small si wick to acceptable hai lekin agar ye upper side par bagher shadow ki ho to ye accurate dragonfly doji candle hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (81).png
Views:	13
Size:	6.1 کلوبائٹ
ID:	12527867

    Dragonfly Doji Candle Kaam Kese Karta Hai?




    Dragonfly doji candle prices k bottom ya bearish trend main bears aur bulls ki market par control hasil karne ka natijay main banti hai. Jab bhi prices ko aik matloba timeframes k dawran bear nechay push karne ki koshash karte hen, lekin demand yakdam ziada hone ki waja se bulls market main active ho jate hen, jiss se wo prices ko mazeed bearish jane se rokhte hen, jiss k natijay main bagher real body wali long lower shadow ki candle tashkeel hoti hai. Ye candle bagher upper shadow ki hoti hai, lekin pher bhi ye candle bullish hososeyat rakhti hai, q k ye iss candle main prices ko nechay jane main dushwaree ka samna karna parta hai. Ye candle prices k top par banne wali hanging man aur gravestone doji candle jaise hoti hai, jab k prices k bottom par banne wali hammer candle ki opposite shap main banti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (63).jpeg
Views:	10
Size:	25.0 کلوبائٹ
ID:	12527868

    Dragonfly Doji Candle Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?



    Dragonfly doji candlestick market main traders k leye buy ka signal dete hai, jiss se trader long timeframes main prices k bottom par aik confirmation candle k baad entry kar sakte hen. Confirmation candle ka aik to bullish hona zarori hai, jab k dosra ye candle dragonfly doji candle k ooper close honi chaheye. Agar iss candle k baad banne wali candle bearish hoti hai, to uss sorat main trade entre karne ki risk na len. Ye single candle hone ki waja se zarori hai, k trend confirmation indicator se bhi ki jaye, jaise agar CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value oversold zone main honi chaheye. Stop loss candle k sab se lower prices ya shadow k bottom se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (64).jpeg
Views:	5
Size:	24.6 کلوبائٹ
ID:	12527866
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Important information about &quot;Dragonfly Doji Candle Pattern&quot;

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Dragonfly Doji Candle


    Dragonfly doji candle price chart par uss waqat banta hai, jab bhi prices aik timeframe k dowran bearish ya downward jane k baad support level ko touch karti hai, lekin candle k ikhtetam par prices wapis bullish ja kar same open point par close ho jati hai. Ye candle prices k bottom main bearish trend k dowran banti hai, jiss k lower side par long shadow ya saya hota hai. Jab bhi bears market ko nechay ki taraf push karte hen, lekin high demand ki waja se jab wo aisa karne main nakam rehte hen, to uss sorat main aik dragonfly doji candle create hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20220507_193140.jpg
Views:	1
Size:	8.3 کلوبائٹ
ID:	12391793

    Candles Formation


    Dragonfly doji candle prices k bottom main uss waqat ban jati hai, jab bhi bear market main apna control baqarar rakhne k leye prices ko downward push karti hai, lekin bull uss waqat ziada active ho jate hen, jiss se wo prices k nechay jane main rukawat peda karte hen. Dragonfly doji candle ki chart main formation darjazel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	unnamed (12).jpg
Views:	2
Size:	22.0 کلوبائٹ
ID:	12391794

    Dragonfly Doji Candle: Dragonfly doji candlestick aik single candle pattern hai, jiss main aik timeframe k dowran prices bottom level par bullish trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle bullish aur bearish dono soraton main bullish hi hoti hai. Jab k ye candle bagher real body main hoti hai, jiss k lower side par aik long shadow ya wick hoti hai. Candle ka shadow aik to lamba hota hai, dosra iss candle k upper side par small si wick to acceptable hai lekin agar ye upper side par bagher shadow ki ho to ye accurate dragonfly doji candle hoti hai.

    Explanation

    Dragonfly doji candle price chart par high demand banne ki sorat main banti hai, jab bhi prices bearish trend ko mazeed downward side par reject karti hai. Ye candle aik muntakhib karda timeframe main pehle bearish jata hai, jo sabeqa bearish trend ki alamat hoti hai, jab k baad main assets ki demand main izzafa hone ki waja se prices wapis bullish move kar jati hai, jiss se ye candle apne same aghaz wale point par close ho jati hai. Candle k lower side par aik lamba shadow ban jata hai. Candle ka lamba saya ya shadow prices k trend reversal ki alamat hoti hai, jo aik new bullish trend ka aghaz karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (61).png
Views:	10
Size:	10.8 کلوبائٹ
ID:	12391795

    Trading

    Dragonfly doji candle price chart k bottom ya bearish trend main hone ki waja se aik bullish signal deti hai. Candle k baad next bullish candle ka hona zarori hai, jiss se prices k trend reversal ki confirmation ho jati hai, jab k bullish candle ka dragonfly doji candle k baad upside par bhi close hona chaheye. Trend confirmation indicator se karna ho to RSI, CCI indicators aur stochastic oscillator par value oversold zone main hona chaheye. Lekin agar confirmation candle aik bearish candle banti hai, to market main entry nahi karni chaheye. Dragonfly doji candle par buy ka trade open hoga, jab k Stop Loss candle k sab se lower position ya support level se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (62).png
Views:	2
Size:	13.9 کلوبائٹ
ID:	12391792

    اب آن لائن

    Working...
    X