Bullish Harami Cross Pattern Kia Hai?
Bullish harami cross candlestick pattern assets ki iss baat ki taraf ishara karti hai, k ab market main sellers ka control buyers k hathon muntaqil hone wala hai. Pattern main shamil candlestick aghaz main aik bari bearish candle hoti hai, jo k downtrend ki mazboti ki alamat hoti hai. Lekin dosri candle aik doji candle hoti hai, jo pehli candle k darmeyan main banne par ye prices ko mazeed downward jane main rukawat dalti hai. Pattern low price area main uss waqat banta hai, jahan par assets ki demand ziada ho chuki hoti hai aur supply kam increase howi hoti hai. Demand ki increasing ki waja se assets ki value main izzafa hota hai, jiss se prices bhi bharna shoro karti hai.
Bullish Harami Cross Kaam Kese Karta Hai?
Bullish harami cross candlestick pattern prices k bottom par banne ki waja se aik strong bullish trend ki indication deta hai, jo k do candle ka aik simple sa pattern hai. Bullish harami cross candlestick pattern ki pehli candle aik strong real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka color bhi bearish pattern k mutabiq black ya red hota hai. Ye candle prices k bottom ya low price main bearish trend ka mazeed izzafe ki koshash hoti hai. Bullish harami cross candlestick pattern main shamil dosri candle bagher real body wali aik doji candle hoti hai, jiss ka open aur close same point par hota hai. Ye candle bagher color ki hoti hai. Jo k umoman aik doji star candle hoti hai. Pattern ki dosri doji candle pehli candle ki real body ki inside banti hai. Kisi bhi assets ki value bohut ziada low hone par aksar usko trend reversal ka samna karna parta hai, issi tarah same bullish harami cross candlestick pattern main bhi hota hai, jiss main prices low area ya bearish trend k baad bullish trend reversal main tabdeel hoti hai. Bullish harami cross candlestick pattern two days candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, jiss k real body lazmi hoti hai aur iss candle ka open close se ooper hota hai. Pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, jo k pehli candle k real body main banti hai, yanni iss candle ka open, close, high aur low sabhi points pehli candle k open close k darmeyan main hote hen.
Bullish Homing Pigeon Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?
Bullish harami cross candlestick pattern trading k leye aik moasar candlestick pattern hai, jiss par market main buy ki entry ki ja sakti hai. Trade k enter karne se pehle market ka low price area ya bearish trend main hona zarori hai, jab k doji candle k baad aik trend confirmation candle ka hona zarori hai. Confirmation candle ka bullish hona lazmi hai, jo dosri candle k top par close honi chaheye. Pattern ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main hona chaheye. Stop loss pattern k sab se bottom position ya pehli bearish candle k low price se two pips below set karen.