Assalamu Alaikum Dosto!
Hanging Man Candlestick
Hanging man candle aik single candle pattern hone ki waja se sab se simple candle pattern hai, jo price chart par aik small upper body k lower side par aik lambey shadow k sath hoti hai. Price chart par aik hi candle ko analysis k leye aur trading k leye istemal kia jata hai, to ye sab se simple candle pattern main shamil hota hai, jiss main aik wahid candlestick buy aur sell ke waqt ki nishan-dahi karti hai. Single candlestick pattern new traders ya un traders k leye ziada pur-kashish hai, jo abhi candlestick k bare main information hasil karte hen, q k iss main ziada pecheedgeyan nahi hoti hai. Hanging man candle iss silsele main bohut information deti hai, jiase traders analysis k dowran bearish trend reversal k leye istemal karte hen.
Candles Formation
Hanging man candlestick k leye prices k top trend ya bullish trend main hona zarori hai, jab k ye candle bullish trend main akhari candle honi chaheye, jiss ki small real body k sath lower side par aik lamba saya hota hai. Candle ki price chart par darjazel tarah se formation hoti hai;
Hanging Man Candle: Hanging man candlestick aik small real body wali long lower shadow ki candle hoti hai. Ye candle prices k top par banti hai, jiss se market mumkina tawar par trend tabdeel karti hai. Normal price chart par ye candle aik neutral candle hi tasawar hogi, sewaye prices k top par banne k, jahan prices ki supply bohut zyada increase ho chuki hoti hai.
Explanation
Hanging man candlestick price chart k sab se top ya low price area main paya jata hai. Ye candle aik strong bearish trend reversal ka indication deta hai, jab bhi prices bullish trend main trade kar rahi hoti hai. Ye candle upper side par aik small real body k sath hoti hai, jiss se k lower side par aik lamba shadow hota hai. Candle k upper side par shadow nahi hona chaheye, lekin bohut small si wick ban jaye to bhi ye candle hanging man hi shumar ki jayegi. Price chart par bullish trend k dowran jab sellers prices ko downward push karte hen, lekin dosri taraf buying pressure se prices jab wapis upper rise hoti hai, to uss sorat main ye candle tashkeel pati hai.
Trading
Hanging man candlestick par trading bhi sab se easy hai, jiss ko analysis main long timeframe k dowran istemal kia ja sakta hai. Candle k bullish ya high prices area main banne k baad jab candle k baad aik bearish confirmation candle ban jaye aur wo hanging man candle k bottom par close ho jaye to iss se market ka current bearish trend confirm ho jata hai. Jab k candle k baad bullish candle banne par market main trade entry nahi karni chaheye. Trend confirmation indicator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value overbought zone main honi chaheye. Jab k single candle pattern par stop loss ka istemal zaror karna chaheye. Candle par Stop Loss sab se upper area ya candle k high price se two pips above set kia ja sakta hai.