Over-bought
Over-bought position prices k leye kisi bhi resistance point ka wo top level hota hai, jiss par prices ka bearish trend reversal hone k chances hote hen. Overbought se murad buyers k prices ko bohut ziada upward side par push karna hoti hai. Technical indicators prices k leye do zone dete hen, jahan se prices ka mumkina trend reversal hone k chances hote hen. Pehla aik level down side par hota hai, jiss ko oversold zone kaha jata hai, jab k resistance level wale zone ko overbought zone kaha jata hai.
Over-bought & Supply Zone
Over-bought zone ko supply zone bhi kaha ja sakta hai, q k iss position par assets ki supply ziada ho jati hai, jiss se item k prices gerna shoro hoti hai. Buyers ki jagah iss position par sellers ziada mutaharek ho jate hen, jo market ko apne lapait main lekar prices ko downward move karwana shoro karte hen. Ziada tar indicator main aik khas level k baad area sara overbought hi shumar hota hai, jaisa k RSI indicator me 70 ya 80 se upper level ko over-bought zone consider kia jata hai. Wese indicator main traders ki apni marzi hoti hai k wo kiss level ko kispoint par set karna chaheye, to kar sakta hai.
Over-bought Zone Trading
Over-bought zone trading k leye aik strong resistance zone hota hai, q k ye level indicates karta hai, k buyers ne apni had se ziada ki khareedari ki hai, aur ab prices ka sellers k hayh main jane ka hadsha hota hai, iss waja se yahan se bearish trend reversal k chances bohut ziada ho jate hen. RSI indicator ki baad ki jaye to wo hamesha overbought zone ko sell signal k leye aik mazbot trend reversal ka area deta hai. Yahan se prices k nechay ki taraf breakout hona sellers k leye bohut ziada faidamand sabit hota hai.