Useful Options for Successful Forex Trading
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Useful Options for Successful Forex Trading
    Market Trends

    Forex market main trade kerny ky liay koi bhi agar thori amount investment ker ky trade kerni shoru kerta hai tou woh forex market main new trader hota hai kuch log forex market main bigger amounts investment kerty hain aur traders ko hire kerty hain tou woh sirf investor hoty hain jabky trader sirf wohi hota hai jo forex market main apni personal investment ya other investors ki investment per trading ker raha hota hai tou jo bhi forex market main trading ky liay enter hota hai woh forex market main new trader hota hai jis ky liay market ko samajhny ky liay bahot sary challenges hoty hain jab ham forex market main trade open aur close kerna learn ker lety hain tab hamain zarurat hoti hai ky ham apni small or bigger investment per trade open ker ky continue kerain tou hamain isky liay zarurat hoti hai ky ham market ky trend ko find ker ky trade trend per open kerain kyun ky market main trend hi hota hai jo hamary profit aur loss ka sabab hota hai tou agar ham market main trade ker ky profit hasil kerna chahty hain tou hamain sab sy pehly market ka trend find kerna hota hai phir trade trend ky mutabiq open kerni hoti hai ky profit hasil kia ja saky tou trend ki basic three types hain jin main uptrend downtrend aur sideways trend shamil hain jin ko her surat main follow kerty huey trade open ker ky tab tak continue rakhni chahiay ky jab tak same trend continue rehta hai

    Click image for larger version

Name:	market_trends.jpg
Views:	3
Size:	53.1 کلوبائٹ
ID:	12524751

    Market Ranges

    Jab ham market main trend ko samajh lety hain aur trend ko find bhi ker lety hain ky market ka current trend kis direction main hai tou phir wahan per trade open kerny ky liay hamain zarurat hoti hai market range ki ky same trend main market agar movement ker rehi hai tou maximum kis range tak market movement ker sakti hai kyun ky aesa bhi hota hai ky trend upward hota hai lekin market maximum range per ponch chuki hoti hai aesy main trend per trade open kerny per bhi loss ho jata hai ky wahan sy market reversal ky chances hoty hain tou market ki maximum aur minimum range ko bhi trend per trade open kerny sy pehly read kerna bahot zaruri hota hai ky agar market apni maximum range per ponch chuki hai tou reverse zarur hoti hai lekin jab tak market maximum ranges tak na ponchi ho tou hamain wait kerna chahiay ky market kisi bhi direction main kisi bhi time big movement ker sakti hai

    Click image for larger version

Name:	market-ranging.png
Views:	22
Size:	15.0 کلوبائٹ
ID:	12524752

    Trading Tools

    Trading tools ki forex market main trade kerny ky liay bahot zyada importance hai ky expert forex traders market main hamesha achy trading tools ko use kerty huey bahot achi earning hasil ker lety hain tou sab sy pehly forex market main trading start kerny ky liay trading tools ka use aana bahot zaruri hota hai ky ham market main trading start hi tab ker sakty hain jab ham in trading tools ko learn ker lety hain forex market main trade kerny ky liay trading tools physical ya solid tools nehi hoty balky software options hoty hain jinko use ker ky ham trade open aur close kerty hain apni trading ko limited kerty hain aur profit aur loss ko calculate kerty hain tou jab tak hamain trading tools ka usage nehi aata ham forex market main trading nehi ker sakty tou hamari pehli priority forex trading tools ka usage learn kerna hota hai aur phir jahan per requirement ho wahan per situation ky mutabiq tool use kerty huey apni trade ko loss sy secure kia jata hai aur profit hasil kia jata hai

    Click image for larger version

Name:	trading-tools.jpg
Views:	3
Size:	94.3 کلوبائٹ
ID:	12524750

    Best Options for Successful Forex Trading

    Forex market main successful trading kerna bahot mushkil kam hai lekin agar ham achi terha trading ko learn ker lety hain aur market ko samajh ker trading rules ky mutabiq trade open ker ky continue kerty hain tou hamari trading successful ho sakti hai ky agar market ky trend aur range ko mind main rakh ker ham koi bhi trade open kerty hain tou bahot zyada chances hoty hain ky hamari same trade profit main hi close ho lekin without any analysis agar ham market ki movement ko read ker ky trade open ker lety hain tou aesi trading ka hamain bahot bara loss ho sakta hai tou trade start kerny sy pehly analysis aur trading strategy bahot zaruri hain jis sy ham apni trading ko successful bana sakty hain ky agar ham koi bhi trade open kerny sy pehly market ky achi terha analysis ker lety hain aur koi successful trading strategy ko apply ker ky trade continue kerty hain tou hamain yaqeeni profit hasil hota hai

    Click image for larger version

Name:	success.jpg
Views:	13
Size:	243.9 کلوبائٹ
ID:	12524753

اب آن لائن

Working...
X