Identification of double dojis candlestick pattern...

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Identification of double dojis candlestick pattern...
    Dear friends, forex main candles kay kafi sari types hoti hain jo combine ho kay patterns create karti hain, in sa traders ko bullish aur bearish moments ki prediction milti hay, candles ki in mukhtalif shapes main say aik double doji pattern bhi banta hay,

    Double Doji candlestick pattern:




    Is pattern main two consective doji candles appear hoti hain, jo prices main ranging market structure ko zahir karti hain aur price trend main aik small pause ko indicate karti hain,

    Appearence of double doji pattern:


    Double doji pairs kafi tarah ki formation main ban saktay hain lakin normaly jo three powerful pairs form hotay hain wo ye hain,

    1. Doji aur long legged doji pair
    2. Two dragonfly doji candlestick pairs
    3. Two gravestone doji candlestick pairs

    1. Doji aur long legged doji pair:


    Jab istarh ki two consective candles banti hain to ye market ki sideways moment ko show karti hain aur market ki next direction kay faislay ko zahir karti hain, isi point sa market main prices ko next bullish ya bearish moment kay baray main janch hoti hay,

    2. Two dragonfly doji candlestick pairs:



    Jaisa kay aik dragonfly doji candlestick bullish trend reversal ko zahir kar rahi hoti hay, isi tarah two dragonfly dojis bullish trend reversal ki mazeed strong predictions daiti hain kiun kay ye prices main bullish control ko two times reject kar daiti hain,

    3. Two gravestone doji candlestick pair:





    Aik single gravestone doji bearish reversal ko predict kar rahi hoti hay aur candle ka long above shadow key level sa price rejection ko indicate kar raha hota hay, isi tarah two consective gravestone dojis kay appear honay sa price rejection mazeed confirmation kay signal daiti hay

اب آن لائن

Working...
X