Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish Mat-Hold Candlestick Pattern
Bullish mat-hold candlestick pattern k shumar bullish trend continuation pattern main hota hai, jiss main panch candles mukhtalif formate k prices k bullish trend k dowran bante hen. Ye pattern bullish trend k dowran banta hai, ya newly bullish breakout trend ko mazeed upward push karta hai. Pattern k banne ki psychology kuch iss tarah se hoti hai, k bullish trend k dowran bears market k trend ko tabdeel karne ki koshash karte hen, lekin ye koshash iss waja se nakam hoti hai, q k bearish candles ziada strong real body main nahi banti hai, jiss se saaf zahir hota hai, k bears market main dilchaspi nahi le rahe hen, aur akher main market apne sabeqa bullish trend ko hi follow karna shoro karti hai.
Candles Formation
Bullish mat-hold candlestick pattern trend bullish continuation pattern ki waja se prices k uptrend ya newly bullish breakout trend main banta hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hote hen;
1. First Candle: Bullish mat-hold candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle aik long real body main banti hai, jiss k upper aur lower side k wicks ya shadow real body se kam hona chaheye. Ye candle bullish trend ki alamat hoti hai, jo k white ya green color main banti hai.
2. Second Candle: Bullish mat-hold candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jiss ki real body bohut small hoti hai. Ye candle pehli candle k real body main top par banti hai, yanni candle ka open aur close pehli candle k andar hota hai.
3. Third Candle: Bullish mat-hold candlestick pattern ki teesri candle bhi aik real body wali bearish candle hoti hai, aur same dosri candle ki tarah small bhi hoti hai, jiss ka open aur close pehli candle k andar hota hai. Ye candle dosri candle k nechay aur pehli candle k real body main banti hai.
4. Fourth Candle: Bullish mat-hold candlestick pattern ki forth candle bhi dosri aur teesri candle ki tarah bearish bhi hoti hai aur small real body main hoti hai. Ye candle teesri candle k baad lower par banti hai lekin ye candle bhi same dosri aur teesri bearish candles ki tarah pehli candle k andar hota hai.
5. Fifth Candle: Bullish mat-hold candlestick pattern ki last candle bullish hoti hai, jo k pehli candle ki taqreeban parallel main banti hai, lekin open forth candle k baad hoti hai, jab upper side par ja kar close hoti hai. Ye candle white ya green color main hoti hai, jo k bullish trend continuation ka kaam karti hai.
Explanation
Bullish mat-hold candlestick pattern bullish trend ko mazeed upward le kar jata hai, jiss se prices ka trend reversal hona mumkin nahi ho pata hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jab baad wali teen lagatar bearish candles hoti hai, jo k pehli candle se size main bohut kam hoti hai aur ye sari candles pehli candle k inside banti hai. Pattern k last ya fifth candle aik baar pher aik bari real body wali bullish candle hoti hai jo k market par bearish asarat ko khatam karke same bullish trend ko continue karwati hai. Pattern ki pehli aur akhari candles aik bari real body wali bullish candles hoti hai, jo k prices ko upward push karti hai, jab k darmeyan main banne bearish candles bullish trend k darmeyan waqfa peda karti hai.
Trading
Bullish mat-hold candlestick pattern prices k bullish trend ko mazeed upward le jane ka kaam karta hai. Ye pattern dosre trend reversal pattern ki nisbat ziada reliable aur qabele bharosa pattern hai. Pattern par trading se pehle aik bullish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k panchwen bullish candle k top par close honi chaheye. Pattern ki confirmation indicators se bhi ki ja sakti hai, jaise CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator par value darmeyan se ooper trade honi chaheye. Pattern k baad bearish candle banne ki sorat main pattern trading k leye kar-amad nahi rehta, iss waja se buy ki entry na karen. Stop Loss pattern k sab se bottom position ya pehli candle k open price se two pips below set karen.