Bearish Mat-Hold Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Mat-Hold Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Mat-Hold Candlestick Pattern


    Bearish mat-hold candlestick pattern k shumar bearish trend continuation pattern main hota hai, jiss main panch candles mukhtalif formate k prices k bearish trend k dowran bante hen. Ye pattern bearish trend k dowran banta hai, ya newly bearish breakout trend ko mazeed downward push karta hai. Pattern k banne ki psychology kuch iss tarah se hoti hai, k bearish trend k dowran bulls market k trend ko tabdeel karne ki koshash karte hen, lekin ye koshash iss waja se nakam hoti hai, q k bullish candles ziada strong real body main nahi banti hai, jiss se saaf zahir hota hai, k bulls market main dilchaspi nahi le rahe hen, aur akher main market apne sabeqa bearish trend ko hi follow karna shoro karti hai.

    Click image for larger version

Name:	download (135).png
Views:	11
Size:	731 بائٹ
ID:	12522994

    Candles Formation


    Bearish mat-hold candlestick pattern trend bearish continuation pattern ki waja se prices k downtrend ya newly bearish breakout trend main banta hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hote hen;

    Click image for larger version

Name:	images (2761).png
Views:	15
Size:	1.9 کلوبائٹ
ID:	12522995

    1. First Candle: Bearish mat-hold candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai. Ye candle aik long real body main banti hai, jiss k upper aur lower side k wicks ya shadow real body se kam hona chaheye. Ye candle bearish trend ki alamat hoti hai, jo k black ya green color main banti hai.

    2. Second Candle: Bearish mat-hold candlestick pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jiss ki real body bohut small hoti hai. Ye candle pehli candle k real body main bottom par banti hai, yanni candle ka open aur close pehli candle k andar hota hai.

    3. Third Candle: Bearish mat-hold candlestick pattern ki teesri candle bhi aik real body wali bullish candle hoti hai, aur same dosri candle ki tarah small bhi hoti hai, jiss ka open aur close pehli candle k andar hota hai. Ye candle dosri candle k nechay aur pehli candle k real body main banti hai.

    4. Fourth Candle: Bearish mat-hold candlestick pattern ki forth candle bhi dosri aur teesri candle ki tarah bullish bhi hoti hai aur small real body main hoti hai. Ye candle teesri candle k baad upper banti hai lekin ye candle bhi same dosri aur teesri bullish candles ki tarah pehli candle k andar hota hai.

    5. Fifth Candle: Bearish mat-hold candlestick pattern ki last candle bearish hoti hai, jo k pehli candle ki taqreeban parallel main banti hai, lekin open forth candle k baad hoti hai, jab lower side par ja kar close hoti hai. Ye candle black ya red color main hoti hai, jo k bearish trend continuation ka kaam karti hai.

    Explanation

    Bearish mat-hold candlestick pattern bearish trend ko mazeed downward le kar jata hai, jiss se prices ka trend reversal hona mumkin nahi ho pata hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jab baad wali teen lagatar bullish candles hoti hai, jo k pehli candle se size main bohut kam hoti hai aur ye sari candles pehli candle k inside banti hai. Pattern k last ya fifth candle aik baar pher aik bari real body wali bearish candle hoti hai jo k market par bullish asarat ko khatam karke same bearish trend ko continue karwati hai. Pattern ki pehli aur akhari candles aik bari real body wali bearish candles hoti hai, jo k prices ko downward push karti hai, jab k darmeyan main banne bullish candles bearish trend k darmeyan waqfa peda karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2762).png
Views:	2
Size:	5.6 کلوبائٹ
ID:	12522996

    Trading

    Bearish mat-hold candlestick pattern prices k bearish trend ko mazeed downward le jane ka kaam karta hai. Ye pattern dosre trend reversal pattern ki nisbat ziada reliable aur qabele bharosa pattern hai. Pattern par trading se pehle aik bearish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k panchwen bearish candle k lower par close honi chaheye. Pattern ki confirmation indicators se bhi ki ja sakti hai, jaise CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator par value darmeyan se nechay trade honi chaheye. Pattern k baad bullish candle banne ki sorat main pattern trading k leye kar-amad nahi rehta, iss waja se sell ki entry na karen. Stop Loss pattern k sab se top position ya pehli candle k open price se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (2760).png
Views:	8
Size:	9.8 کلوبائٹ
ID:	12522997

اب آن لائن

Working...
X