trade with bullish hammer candle stick pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    trade with bullish hammer candle stick pattern
    what is bullish hammer;



    bullish hammer candle stick aik single candle stick pattern hota hey jo keh forex market kay price kay chart par pai jate hey j keh market ko bullish reversal janay ko indicate karte hey yeh forex market kay dosray candle stick pattern say different hote hey kun keh es ke single candle stick aik mor par aik kaim kame kay trend kay doran eshara karte hey
    hammer ke nechay tasweer mein explain kea jata hey khas tor par high low open or close hote hey Hammer ko bananay kay ley currency kay pair ko new low banay kay ley price ko pehlay nomain tor par buy karna chihay ta hum es mein kame kay bad price mein nomean ezafa hota hey jes ke wajah say price aik chote ce body rakhte hey or es ke intial price tak pohnch jate hey
    Click image for larger version

Name:	trading-the-bullish-hammer-candle_body_2019_05_07_09_38_06_IG_Trading_Platform_Spread_Betting.png
Views:	14
Size:	2.3 کلوبائٹ
ID:	12522975
    yeh yad rakhna zaroore hota hey keh bullish hammer mein candle stick ke lambai kam az kam double long wick hone chihay es kay elawah candle stick ya to khod red ya green ho sakte hey hanging man aik chota se body hote hey or es candle stick mein long wick hote hey laken yeh upper trend kay end mein hanging man candle stick pai jate hey bullish hammer ke body small hote hey laken yeh serf down trend kay end mein pai jate hey


    bullish hammer candle stick pattern in forex market trading


    bullish hammer candle stick pattern mokhtalef kesam kay charts or time frame say mell kar bante hey opar deya geya AUD/USD daily kay charts par aik mesal de gai hey 20 april say 31 may tak 892 pips AUDUSD tak ger eya hey es down trend ka end Hammer candle stick kay sath kea geya hey
    Click image for larger version

Name:	trading-the-bullish-hammer-candle_body_Bullishhammer.png
Views:	15
Size:	12.1 کلوبائٹ
ID:	12522984
    chokeh hammer ke strength graph par es jagah par depend karte hey aam tor par trader es candle stick price ko support kay dosray indicator kay sath estamal kartay hein es mein tools ka etamal karna shamel hota hey jaisay pivot point , Fibonacci retracement aik mesale manzar nammay hotay hein Hammer ke candle stick support level mein enter ho jay ge or support kay opar close ho jay ge or aik new buying kay sath
    دیتے جائیںThanksحوصلہ افزائی کے لیے
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: trade with bullish hammer candle stick pattern

    Hammer Candlestick Pattern


    Hammer candle uss waqat banti hain jab security open hone ke baad numaya tor par neechay chali jati hai, lekin din k ahtetam par prices bullish close ho jate hen, iss prosses mein anay wali candlestick aik lambi nechay saye (lower shadow) ke sath murabba lollypop ki tarah dikhaye deti hai. Mazbala candlestick agar bearish trend ya low price area main banta hai, to iss ko hammer candlestick kehte hen, jo k bullish candle ki hososeyat rakhti hai aur bullish trend reversal ka sabab bhi banti hai. Hammer candle ka taluq umbrella family se hai, jiss main candle ki upside par small real body hoti hai, jab k lower par aik long shadow hota hai. Candle k real body k upper side par shadow ka nahi hona chaheye, lekin small wick acceptable hai.

    Click image for larger version

Name:	images (835).png
Views:	65
Size:	20.5 کلوبائٹ
ID:	12419575

    Pattern ki Pehchan k Rules

    1. Hammer candle aik single pattern ki bullish trend reversal candle hoti hai, jo k qeematon lower side ya bearish trend me banti hai.
    2. Pattern ki aik small bullish real body hoti hai, jis me candle ka open aur close same to nahi hota hai, lekin aik dosre k qareeb zaror hota hai.
    3. Pattern ki lower side par aik long wick ya shadow hoti hai, jo taqreeban candle k real body ka dugna, ya us se bhi ziadda hota hai.
    4. Pattern ki color lazmi nahi hai k koi khaas pattern ka ho, lekin agar white ya green hota hai, to ye aik achah result ka pattern ban jata hai.
    5. Candle k upper side par koi shadow nahi hona chaheye, lekin aik small si wick acceptable hai, jo bohut zyada lamba na ho, jis se candle k shape ka tabdeel hona ka hadsha hota hai.


    Click image for larger version

Name:	images (834).png
Views:	83
Size:	5.2 کلوبائٹ
ID:	12419576

    Pattern ki Tafseel


    Hammer candle aik bullish trend reversal ka single candle patteren hai, jo iss baat ki nishandahi karti hai, k stock apni bottom level tak pahonch gaya hai, aur prices ka trend tabdeel hone ki position mein hai. Hammer candle khaas tor par, yeh ishara karta hai, ke sellers market mein ziada active ho chuke hen, jiss se wo prices ko ko akhari bottom level tak push karte hen. Lekin baad main market main buyers ki pressure ya tadad main izafa hone ki waja se prices din k akhtetam tak wapis upper chali jati hai, jo iss ka baat ka ishara hota hai, k prices ab trend tabdeel karne k mode main a chuki hen. Candle k lower side par aik long shadow prices k mazeed bearish jane ka rejection zahir hpta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (836).png
Views:	11
Size:	8.6 کلوبائٹ
ID:	12419577

    Pattern par Trading ka Amal


    Hammer candle aik signle candle pattern hai, jiss ka pattern bearish ya low prices area main ziada moasar hota hai. Ye candle baqi umbrella aur inverse umbrealla candles ki tarah trend reversal ka sabab banti hai. Prices chart k bottom area main lollypop shakal ki banne wali aik single pattern candle jiss k upper side par aik small body hoti hai, aik hammer candle hoti hai, jo prices ko mazeed bearish jane se rok kar trend reversal ka sabab banti hai. Ye candle market main sellers ka ikhtetam aur buyers ka prices ko upward pusha karne ka ishara hota hai. Candle par trading se pehle trend confirmation k leye aik to prices ka bottom hona chaheye, jab k doara aik bullish real body wali candle bhi honi chaheye. Lekin hammer candle k baad bearish candle k banne se ye candle invalid ho jayegi. Ye single candle pattern hone ki waja se trend ki confirmation indicators aur oscillator se bhi ki ja sakti hai, jo k oversold area main hona chaheye. Stop loss pattern k sab se lower side ya candle k shadow k bottom se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (833).png
Views:	45
Size:	13.1 کلوبائٹ
ID:	12419578

    اب آن لائن

    Working...
    X