Determining trend and using trendlines in Forex Market
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Determining trend and using trendlines in Forex Market
    Assalam alaikum! Dear members I hope sb kehriyat sy honge, aur market mein acchi earning kar rahe honge.Dear agar aap market mein kamyabi hasil karna chahty hain to aapko hamesha experience ke sath kam karna hota hai aur apni learning ko perfect banana hota hai. Tab hi aap kamyabi hasil kar sakty hain. Forex trading main agar aap successful trading karna chahty hain to aapko different factors per study kart hain to aapko bahut zyada advantages available hoty hain. Aaj main aapko trendline k related important information share karna chahti hun jisko samajh Kar aap aasani sy trading kar sakty hain.


    Importance Of Trend :



    Dear har trader ya tasleem karta hai ki koi bhi aik aise Strategy nai hai jo hundred percent kamyab ho. Yah aik obvious baat hai aur yahi wajah hai k trader ko har time aisi cheezen dekhni chahie jin sy wo zyada trades mein kamyab ho. Aur enn cheezon mein sy aik chez trend hai. Trend k sath trade kaisy karna hai yah sikhana intehai zaroori hai. Agar aapane koi Strategy banai hai aur us strategy mein Koi imperfections hai to trend usko cover kar sakta hai. For example market downtrend mein aur aapane trend identify karny k bad agar trade trend mein laga de aur market aapke against chali jaati hai. Lekin wo trade aapke liye khtry ka sawab isliye nai hai kyun k eventually market trends ki simat mein aaegi aur app trade sy basani nikal sakty hain.


    Click image for larger version

Name:	ecceb90444372142b8e0b0c757e1b7ac3ade7da130e7cf47c06c2d75df8b6e60.0.JPEG
Views:	9
Size:	64.1 کلوبائٹ
ID:	12520349





    Identification Of Trend In Forex :



    Agar aapane trend ko determine karna hai to pahle aap ne jis currency pair ka trend find karna hai uska chart jo kamz se kamz 100 sy 200 candles per mushtamil ho, nikale aur ussy price ki simt ka taiyun Karen. Aur aap dekhen gy k market uptrend mein hai ya downtrend mein.


    Using Trendline :



    Dear trend ko identify karna aur b easy ho jata hai agar ham trendline ka istemal karty hain. Trend line sy ya aasani sy pata chal jata hai ki market kahan sy bounce karegi ya support aur resistance ko toor Kar market ki direction ko change karegi. Agar trend upward chal raha hai ya aap multiple lows ko connect kar k trend line khench sakty hain downtrend market mein aap multiple high ko connect kar k trend line laga sakty hain.


    Explanation :


    Dear agar aap successful trading karna chahty hain, to forex market main aapko proper judgement karna hota hai jab aap different factors per study karty hain to market mein maximum advantages available ho sakti hain. Jaisa k diye hue chart mein clear Uptrend dekh sakty hain aur higher lows ko connect kark trendline lagai gai hai.


    Click image for larger version

Name:	638aed8377bdf1c8fb1e39986eefcd365a610313aeece508779cb8f0a06c39fd.0.PNG
Views:	12
Size:	19.5 کلوبائٹ
ID:	12520348

اب آن لائن

Working...
X