Financial markets Me Slipage k Masayel
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Financial markets Me Slipage k Masayel
    Slippage


    Jab aap bhi market ki mojoda (current) qeemat pe order put (buy or sell) karte hen, lekin order put hone k bad wo kisi aur position (ya price) pe put of (lag chuka) ho, to is amal ko Slippage kaha jata hai. Misal k tawar par aap EUR/USD ko 1.1180 pe khareedna (buy) chahte hen lekin slippage ki waja se qeemat 1.1181 lag jata hai. Aik trade k lot size 0.01 me 0.0001 ka difference bari mayene nahi rakhta lekin agar ye ziada trade hon ya 1.0 lot ho to us sorat me aap ko 0.01 ka nuqsan hoga, jis ka matlab hai k ap ko us trade me izafi $100 ka loss ho gaya.

    Click image for larger version

Name:	images (2407).png
Views:	2
Size:	5.1 کلوبائٹ
ID:	12519775

    Market me aam tawar par do (two) tarah k orders istemal hote hen, aik market order (market ka mojoda qeemat) aur dosra limit orders. Slippage market order pe depend karta hai k aap konsa istemal kar rahen hen.
    Limit orders me slippage ka loss kuch mukhtalif hota hai, for example ; app EUR/USD ko 1.1180 pe khareedna chahte hen, lekin slippage ki waja se market ki qeemat ( price) is level ko hi nahi pohunch pati, limit order me aap ko market ki fixed qeemat ada karni hoti hai, lekin slippage ki waja se aksar price ap k limit tak pohunchne me nakam ho jati hai. Limit orders me qeemat ki zamanat (guarantee) to hoti hai lekin trade lazmi lagne ki zamanat nahi hoti hai.
    Market order Slippage me limit order se mukhtalif hai, is me trade lagne ki zamanat (guarantee) to hoti hai lekin qeemat wahi hogi, is ki zamanat nahi hoti hai. Agar aap EUR/USD k order ko 1.1180 pe buy to karte hen lekin order put hone k bad wo aap ko 1.1181 hota hai. Market order ki qeemat slippage ki waja se mutasir ho sakti hai.
    Market utar-charao (volatility ya fast market) k sath market k order par slippage barhti hai. Jab market shoro hoti hai to slippage bohut ziada ho jati hai.
    Slippage ko control karne ka tareeqa ye hai k aap market me is ko practice karne se qabo kar sakte hen, jo bhi tareeqa ap ko achah lagay us ko ikhteyar karen. Slippage ko limit order se kafi had tak qabo (control) me laya ja sakta hai, agar koi limit order ka trade app se slippage ki waja se miss bhi ho jaye to is k elawa bhi market me bohut ziada mawaqay (opportunities) hen, jin pe trade kia ja sakta hai, kam az kam loss se to aap mehfoz rahengay.
    Kuch slippage me brokers bhi shamil (involve) hote hen, agar brokers slippage nahi karte hen, to us sorat me slippage me kabhi kabhi faida bhi hota hai, q ka uttar aur charao dono sematon me ho sakta hai.

    Slipage ko mazeed do hison me taqseem kia jata hai;

    Positive Slipage


    Positive slippage us waqat waqo pazir hota hai, jab bhi trader trade open karne k leye order deta hai, lekin Slipage ki waja se us k order qeematon k behtar point pe lag jaye.
    Misal k tawar par, aik trader GBP/USD currency jore k 1.35020 ki position pe buy ki trade ka order put karta hai, lekin slipage ki waja se us ka order 1.35000 ki position pe put ho jata hai, to ia me trader k leye faida hota hai. Is waja se ye slipage positive slippage kehlata hai.

    Negative Slipage


    Negative slippage us waqat hota hai, jab bhi trader k trade ki position us k order keye gaye position k muqabele me slipage ki waja se loss me put ho jaye.
    Misal k tawar par, agar aik trader GBP/USD ko 1.35020 ki position pe buy karna chahta hai, lekin slippage ki waja se us ka order 1.35050 pe lag jaye to ye negative slipage hota hai, jis me trader k leye nuqsan hai.

اب آن لائن

Working...
X