Assalamu Alaikum Dosto!
Above the Stomach Candlestick Pattern
Above the stomach candlestick pattern price chart par banne wala aik two days ka bullish trend reversal pattern hai, jo k low price area ya bearish trend k dowran banta hai. Pattern ki pehli candle bearish jab k dosri candle aik bullish candle hoti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k real body main center se thora sa above open hoti hai, jab k close dosri candle k opposite direction main sabeqa trend reversal k mutabiq top par hoti hai. Pattern ki dono candles ka open price aik dosre ko over-lape karta hai, jab k close aik dosre k opposite side par hoti hai. Pattern ki dono candles real body main lazmi honi chaheye, jab k candles k shadow ka hona ya na hona zarori nahi hai.
Candles Formation
Above the stomach candlestick pattern k leye zarori hai, k prices ka bottom ya bearish trend main ho. Pattern k bottom prices se reversal k chances ziada hote hen. Above the stomach candlestick pattern do mukhalif candles ka hota hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Above the stomach candlestick pattern ki pehli candle aik real body wali bearish candle banti hai. Ye candle prices k bottom par ya low prices area main selling ki dilchaspi dekhati hai, jo prices ko mazeed lower side par push karti hai. Ye candle black ya red color main hoti hai, jo prices main demand ki kami ki nishan-dahi karti hai.
2. Second Candle: Above the stomach candlestick pattern ki dosri candle bullish trend wali candle hoti hai, jo k prices k direction ko bullish trend reversal main tabdeel karwati hai. Ye candle aik real body main banti hai, jiss ka open pehli candle midpoint se above hota hai, jab k close point ussi candle top par bullish body k sath hota hai.
Explanation
Above the stomach candlestick pattern two days candles ka trend reversal pattern hai, jiss main pehli candle aik normal bearish candle hoti hai, jo prices main bearish trend continuation aur selling pressure dekhati hai. Ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, jab k pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k pehli candle k real body main darmeyan se thora sa ooper open ho kar aur bullish real body banane k baad top par close hoti hai. Ye candle market main buying control ko zahir karti hai, jo bearish trend k ikhtetam par wo hasil karte hen. Pattern ki dosri candle ka open price pehli candle k real body k open price aur midpoint k darmeyan hona zarori hai.
Trading
Above the stomach candlestick pattern prices k bottom par banne ki waja se market main buyers active ho jate hen. Pattern ki pehli candle prices ko mazeed nechay ki taraf push karne par majboor karne ki koshash karti hai, lekin iss position par high demand hone ki waja se aisa mumkin nahi ho pata hai. Pattern par trade enter karne se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jiss ka open price apne close price k nechay hona chaheye aur dosri candle k upper side par close honi chaheye. Lekin agar confirmation candle aik bearish candle banti hai, to ye pattern invalid ho jayega, jiss par trade entry nahi karni chaheye. Indicators par value lazmi oversold zone main hona chaheye, jiss ki confirmation lazmi hai. Stop Loss pattern k sab se bottom position jo k pehli candle ka low ya close price banta hai, se two pips below set karen.