Bearish Meeting Line Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Meeting Line Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Meeting Line Candlestick Pattern


    Bearish meeting line candlestick pattern two days candles par mushtamil aik bearish trend reversal pattern hai, jo k top trend k baad banta hai. Pattern aik bullish trend main uss waqat banta hai, jab market main aik bearish candle pechli bullish candle k ooper gap main open ho kar, aur real body banane k baad pehli bullish candle k real body k top par same closing price par close ho jati hai. Pattern main shamil dono candles ka close price same point par ya aik dosre k bohut qareeb hota hai, jiss se dono candles k darmeyan koi gap nahi banta hai. Pattern k mutabiq bears market k control ko hasil karne main kamyab hote hen, jiss se prices reversal ya bearish trend ko follow karna shoro karti hai. Pattern k dono candles k closing price k darmeyan lazmi koi gap nahi hona chaheye, basorat degar ye pattern bullish separating line pattern ban sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2386).png
Views:	1
Size:	3.5 کلوبائٹ
ID:	12519643

    Candles Formation


    Bearish meeting line candlestick pattern ki dosri candle k bearish hone k baad market main investor trend badalne par majbor hote hen. Jiss se prices new trend bearish ko follow karna shoro karti hai. Pattern main shamil dono candles mukhtalif pattern ki hoti hai, jiss mein pehli candle bullish aur dosri bearish hoti hai, jiss ki tafseel darjazel tarah se hoti hai:

    Click image for larger version

Name:	IMG_20220404_110820.jpg
Views:	1
Size:	23.8 کلوبائٹ
ID:	12519645

    1. First Candle: Bearish meeting line candlestick pattern main pehli candle aik bullish candle hoti hai, ye candle price k uptrend ko show kar rahi hoti hai, jo k white ya green color ki candle hoti hai. Ye candle aik strong real body main banti hai, yanni candle ki real body shadow se ziada hoti hai.

    2. Second Candle: Bearish meeting line candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k open to pehli candle k bottom par gap main hoti hai lekin close pehli candle k real body k qareeb ya same pehli candle k closing price par hoti hai. Ye candle color main black ya red hoti hai, jo k bullish trend ko khatam karti hai, aur prices k bearish trend reversal ka sabab banti hai.

    Explanation

    Bearish meeting line pattern ko bearish trend reversal patteren ke tor par istemal kia jata hai, jo market mein musalsal ooper ki janib harkat karte howe prices main banta hai. Pattern k dosre din ki candlestick prices main waqfa dekhata hai, jahan bears market mein wapasi ki koshash karte hai. Pattern ka ahem nuqta yeh hai, k pattern ki dosri candle pehli candle k close price se ooper gap main open ho kar bearish real body banane k baad pehli candle k same upper price ya close price par close hoti hai. Pattern ye zahir karne ki koshash karte hen, k bulls market main control barqarar rakhne main nakam rahe hen, jiss se bears market ka control hasil karte hen. Pattern ki dono candles mukhtalif formate main hoti hai, jiss main pehli candle bullish aur dosri bearish hoti hai. Dono candles real body main lazmi honi chaheye jab k ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (878).jpeg
Views:	21
Size:	14.6 کلوبائٹ
ID:	12519644

    Trading

    Bearish meeting line candlestick pattern prices main bears ki kamyab koshash ko zahir karti hai, jiss se prices bearish trend reversal ko follow karti hai. Pattern ki dono candles k closing price k same point par honi chaheye, q k bearish candle ki ye strong wapasi prices k trend reversal ka sabab banti hai. Pattern par trading se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main bearish honi chaheye aur dosri bearish candle k bottom par close honi chaheye. Pattern k baad bullish candle k banne se ye pattern invalid ho jayega. Pattern ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value overbought zone se kam honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se top position ya dosri candle k open price se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (877).jpeg
Views:	23
Size:	40.7 کلوبائٹ
ID:	12519642
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Bearish Meeting Line Candlestick Pattern

    Bearish Meeting Line Pattern kia hai?


    Bearish meeting line pattern dark cloud cover candlestick pattern ki tarah aik bearish trend reversal pattern hai jiss main aik candle apne se pehle din ki candle par upper side se gap main open ho kar kar attack karti hai. Bearish meeting line pattern ki pahli candle bullish hone ka matlab yah hai ki Yahan per market mein buyer jyada active hote hain aur vah prices ko upward site per post karte rahte hain jisse candle ki real body white ya green color mein Ban jaati hai jo ki hamen strong bye ka message deti hai hamen is position ko ignore nahin karna chahie kyunki Yahan per market mein traders jyada active hote rahte hain.

    Click image for larger version

Name:	download (15).jpeg
Views:	1
Size:	5.0 کلوبائٹ
ID:	12401108

    Bearish Meeting Line Pattern kia karta hai?


    Bearish meeting line pattern trend reversal pattern honne ki waja se prices k top par ya bullish trend main banta hai, jiss se prices apne trend ko badalne main majboor ho jati hai. Bear is meeting line pattern ki pahli candle white color mein hoti hai jo hamen market ke current situation ya police train ke bare mein batati hai iske bad banne wali candle ek bear Asian black color ki candle hoti hai jo ki hamen market mein trend reversal ke ya prices ke downward side per fall karne ke bare mein information deti hai yah candle strong real body mein banti hai jo ki pahli candle se top price per open gap mein hoti hai aur close price donon candle ka sem hi point ya Line per hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (378).png
Views:	8
Size:	5.7 کلوبائٹ
ID:	12401107

    Bearish Meeting Line Pattern par Trading kese Ki jati Hai?


    Bearish meeting line pattern ki dosri candle k baad market main sellers active ho jate hen, q k ye aik bearish signal de rahi hoti hai. Pattern k baad aik bearish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k long real body main pehli candle k real body main close ho jaye. There is meeting line candlestick pattern for trading karne se pahle hamen lovely ek confirmation candle ki jarurat hoti hai jo ki market mein hamen seller position batati hai aur Yahan per Ham entry post karte hen. Pattern per market mein entry aur stop loss ka lagana bahut jyada jaruri hai is vajah se hamen munasib position jo ki dusri candle ka top banta hai per stop karna chahie iske alava entry ke liye risk reward reshon ke mutabik hi laat size ka intekhab Karna chahie jisse Ham market mein Apne position ko mujhse kam kar sakte hain.

    Click image for larger version

Name:	images (379).png
Views:	11
Size:	3.9 کلوبائٹ
ID:	12401106

    اب آن لائن

    Working...
    X