Above the Stomach Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Above the Stomach Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Dark Cloud Cover Candlestick Pattern


    Dark cloud cover candlestick pattern price chart par banne wala aik two days ka bearish trend reversal pattern hai, jo k high price area ya bullish trend k dowran banta hai. Pattern ki pehli candle bullish jab k dosri candle aik bearish candle hoti hai. Pattern ki dosri bearish candle k open price pehli candle se oopar gap main honi chahiye, lekin ye bohut ziada zarori nahi hai, bulkeh dosri candle pehli candle k close price k qareeb bhi open ho sakti hai. Pattern ki dosri candle ka close price pehli candle k wast point se nechay hona chahiye, lekin iss k close price k ooper aur open price k nechay nahi hona chaheye. Pattern ki dono candles real body main lazmi honi chaheye, jab k candles k shadow ka hona ya na hona zarori nahi hai.

    Click image for larger version

Name:	images (856).jpeg
Views:	20
Size:	19.2 کلوبائٹ
ID:	12519313

    Candles Formation


    Dark cloud cover candlestick pattern k leye zarori hai, k prices ka top ya bullish trend ho. Pattern k top prices se reversal k chances ziada hote hen. Dark cloud cover candlestick pattern do mukhalif candles ka hota hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	unnamed (17).jpg
Views:	10
Size:	19.8 کلوبائٹ
ID:	12519317

    1. First Candle: Dark cloud cover candlestick pattern ki pehli candle aik long real body main bullish candle banti hai. Ye candle prices k top par ya high prices area main buyers ki dilchaspi dekhati hai, jo prices ko upper side par push karti hai. Ye candle white ya green color main hoti hai, jo k beal body k sath hoti hai.

    2. Second Candle: Dark cloud cover candlestick pattern ki dosri candle bearish trend wali candle hoti hai, jo k prices k direction ko badal deti hai. Ye candle aik long real body main banti hai, jiss ka open pehli candle k top par gap main hota hai, jab k close ussi candle k real body k centre se nechay hota hai.

    Explanation

    Dark cloud cover candlestick pattern two days candles ka trend reversal pattern hai, jiss main pehli candle aik normal bullish candle hoti hai, jo prices main bullish trend aur buying pressure zahir karti hai. Ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, jab k pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k pehli candle k top gap main open ho kar pehli candle k darmeyan se nechay close hoti hai. Ye candle market main selling control ko zahir karti hai, jo prices k sabeqa trend k khatemay par banta hai. Ye pattern dekhne aur candles ki formation same bearish belt-hold line candlestick pattern ki tarah hota hai, aur dono same bearish trend reversal k leye istemal hote hen, lekin dosri candle ki thori si tabdeeli ki waja se dono aik dosre se mukhtalef bante hen.

    Click image for larger version

Name:	images (855).jpeg
Views:	19
Size:	18.5 کلوبائٹ
ID:	12519314

    Trading

    Dark cloud cover candlestick pattern prices k top par banne ki waja se market main sellers ziada active ho jate hen. Pattern ki dosri candle prices ko bullish trend k leye resistance zone banati hai, jiss k baad prices teezi k sath downfall karti hai. Pattern par trade enter karne se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jiss ka open price apne close price k ooper hona chaheye aur dosri candle k lower par close honi chaheye. Lekin agar confirmation candle ki jagah agar bullish candle banti hai, to ye pattern invalid ho kayega, jiss par trade entry nahi karni chaheye. Indicators par value lazmi overbought zone main honi chaheye, jiss ki confirmation lazmi hai. Stop Loss pattern k sab se top position jo k dosri candle ka high price banta hai, se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (2338).png
Views:	98
Size:	16.2 کلوبائٹ
ID:	12519312

اب آن لائن

Working...
X