Collapsing Doji Star Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Collapsing Doji Star Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Collapsing Doji Star Candlestick Pattern


    Collapsing doji star candlestick pattern price chart k bottom par banne k baad market inverse movement shoro karta hai. Ye teen candles par mushtamil aik trend reversal pattern hota hai, jiss me first aur last candles normal candles hi hoti hai, lekin direction me opposite hoti hai. Jab k middle wali candlestick doji candle hogi jis ka open aur close price apas me same hi hoga. Ab ham ye bhi dekhte hen k evening doji-star candle stick patrren bhi issi tarah ka hota hai jis me first candle aur second candle same price ki hoti hai aur direction me opposed hoti hai, lekin evening star candlestick aik to prices k top par banta hai, dosra uss main doji candle bullish candle k top par banti, jiss k baad nechay down gap main bearish candle banti hai, jab k collapsing doji-star candlestick pattern main teeno candles aik dosre se down side par gap main bante hen, aur trend ko top se nechay ki taraf badal deta hen.

    Click image for larger version

Name:	images (808).jpeg
Views:	1
Size:	5.7 کلوبائٹ
ID:	12518879

    Candles Formation


    Collapsing doji star candlestick pattern aik unique pattern hai, jiss k opposite direction main koi reversal pattern nahi hai, ye pattern bohut kam hi banta hai, jiss main teen candles shamil hen. Pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, dosri candle aik doji candle hoti hai, jab k last candle aik bearish candle hoti hai. Pattern main candles ki tafseel darjazzel hai:

    Click image for larger version

Name:	images (2252).png
Views:	1
Size:	3.3 کلوبائٹ
ID:	12518880

    1. First Candle: Collapsing doji-star candlestick pattern main shamil pehli candle bullish trend wali hoti hai, jiss ka colour white ya green hotta hai, ye candle normal real body ki candle hoti hai. Jis ka close price open price se ziada hota hai.

    2. Doji-Star Candle: Collapsing doji-star candlestick pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, jo k bagher real body main hoti hai. Ye candle pehli bullish candle se nechay gap main banti hai, jo k ziada tar aik doji star candle hoti hai, jiss ka open aur close same point par hota hai.

    3. Third Candle: Collapsing doji-star candlestick pattern ki teesri aur last candle aik real body long size ki bearish candle hoti hai, jo k dosri candle se below gap main banti hai. Ye candle size main taqreeban pehli bullish candle k barabar ya uss k size k 50% se ziada bari ho sakti hai.

    Explanation

    Collapsing doji star candlestick pattern price chart par bullish trend main banne wala aik bearish trend reversal pattern hai, jiss main shamil candles ki formation same evening doji star candlestick pattern ki tarah hoti hai, lekin iss pattern main candles ki formation mukhtalif hen, yanni pattern ki teeno candles aik dosre k lower side par bante hen. Ye aik unique pattern hai, jo k prices k top par banta hai, iss waja se pattern ki pehli candle bhi bullish hoti hai. Pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, jo k pehli candle k bottom par gap main banti hai, aur teesi candle aik bearish candle hoti hai, jo k doji candle k bottom gap main banti hai. Pattern main shamil teeno candles k darmeyan clear aur wazih gap hona chaheye, yanni candles k shadow aik dosre ko overlape na karen.

    Click image for larger version

Name:	Collapsing-Doji.jpg
Views:	4
Size:	15.8 کلوبائٹ
ID:	12518881

    Trading

    Collapsing doji star candlestick pattern buyers market ko mazeed bullish le jane k mode main nahi dekhaye dete jiss ki waja se pattern main dosri candle aik doji candle banti hai, jo k pehli candle k lower par banne k sath sath pehli candle se lower side par gap bhi bantai hai, aur third candle doji candle se nechay gap main banti hai. Pattern par trading se pehle aik confirmation candle ki zarorat hogi, jo k real body main bearish candle honi chaheye, jiss k baad market main sell ki entry ki ja sakti hai. Lekin bullish candle banne par entry se ijtenab karen. Pattern ki confirmation CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value overbought zone main honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se top position ya pehli candle k close price se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (2253).png
Views:	6
Size:	19.7 کلوبائٹ
ID:	12518878

اب آن لائن

Working...
X