Bearish Belt-Hold Line Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Belt-Hold Line Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Belt-Hold Line Candlestick Pattern


    Bearish belt-hold line candlestick pattern two days candles par mushtamil aik bearish trend reversal pattern hai, jo k uptrend k baad banta hai. Pattern aik bullish trend main uss waqat banta hai, jab market main aik opening marubozu bearish candle pechli bullish candle k ooper gap main open ho kar, aur real body banane k baad pechli bullish candle k real main darmeyan se nechay close ho jati hai. Pattern k mutabiq sellers market main ziada active ho jate hen, jo sabeqa bullish trend ko mustarad karte hen. Pattern ki dosri candle ka open side par koi shadow nahi hona chaheye, jab k closing end par candle ka shadow ho sakta hai. Pattern ki pehli candle shadow samet ho sakte hen, lekin dono candles ki real body lazmi honi chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (804).jpeg
Views:	16
Size:	18.1 کلوبائٹ
ID:	12518848

    Candles Formation


    Bearish belt-hold line candlestick pattern ki dosri candle k bearish hone k baad market main investor trend badalne par majbor hote hen. Jiss se prices new semat bearish trend ko follow karna shoro karti hai. Pattern main shamil dono candles mukhtalif pattern ki hoti hai, jiss mein pehli candle bullish aur dosri bearish hoti hai, jiss ki tafseel darjazel tarah se hoti hai:

    Click image for larger version

Name:	images (805).jpeg
Views:	30
Size:	11.3 کلوبائٹ
ID:	12518849

    1. First Candle: Bearish belt-hold line candlestick pattern main pehli candle aik bullish candle hoti hai, ye candle price k uptrend ko show kar rahi hoti hai, jo k white ya green color ki candle hoti hai. Ye candle aik strong real body main banti hai, yanni candle ki real body shadow se ziada hoti hai.

    2. Second Candle: Bearish belt-hold line candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k open to pehli candle k top par gap main hoti hai, lekin close pehli candle k real body k darmeyan se nechay hoti hai. Ye candle color main black ya red hoti hai, jo k bullish trend ko khatam karti hai, aur prices k bearish trend reversal ka sabab banti hai. Ye candle opening side par aik marubozu candle hoti hai.

    Explanation

    Bearish belt-hold line candlestick pattern ko bearish trend reversal patteren ke tor par istemal kia jata hai, jo market mein musalsal ooper ki janib harkat karte howe prices main banta hai. Pattern k dosre din ki candlestick prices main waqfa dekhata hai, jahan bears market mein wapasi ki koshash karte hai. Pattern ka ahem nuqta yeh hai, k pattern ki dosri candle aik to pehli candle k close price se ooper gap main open ho kar bearish real body banane k baad pehli candle k midpoint ya 50% se nechay close hoti hai, aur dosra ye candle opening side se aik marubozu candle hoti hai. Pattern ye zahir karne ki koshash karte hen, k bullsmarket main control barqarar rakhne main nakam rahe hen, jiss se bears market ka control hasil karte hen. Pattern ki dono candles mukhtalif formate main hoti hai, jiss main pehli candle bullish aur dosri bearish hoti hai. Dono candles real body main lazmi honi chaheye jab k dosri candle k open ya top side par koi shadow ya wick nahi honi chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (2239).png
Views:	29
Size:	1.4 کلوبائٹ
ID:	12518850

    Trading

    Bearish belt-hold line candlestick pattern prices main bulls ki kamyab koshash ko zahir karti hai, jiss se prices bearish trend reversal ko follow karti hai. Pattern ki dono candles k closing price par aik dosre ko overlape karte hen. Pattern ki dosri candle k upper side par koi shadow ya wick nahi hona chaheye, q k bearish candle ki ye strong wapasi prices k trend reversal ka sabab banti hai. Pattern par trading se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main bearish honi chaheye aur dosri bearish candle k bottom par close honi chaheye. Pattern k baad bullish candle k banne se ye pattern invalid ho jayega. Pattern ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value overbought zone main hon chaheye. Stop Loss pattern k sab se top position ya dosri candle k open price se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (2240).png
Views:	38
Size:	10.6 کلوبائٹ
ID:	12518851

اب آن لائن

Working...
X