Rickshaw Man Candlestick
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Rickshaw Man Candlestick
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Rickshaw Man Candlestick Pattern


    Japanese candlesticks baar chart ki nisbat iss waja se ziada pasand ki jati hai, q k ye candles un ki nisbat bohut ziada information reakhti hai. Baar chart aik timeframe ka open, close, low aur high prices dekhate hen, jab k candlestick open, close, low, high, bullish, bearish aur neutral values bhi dekhate hen. Candlesticks chahay single hon ya tadad main ziada hon, innki information ziada reliable hoti hai, jiss ko analyst ziada pasand karte hen. Rickshaw man candle bhi aik single candle hoti hai, jo k umoman aik neutral candle tasawar ki jati hai. Ye candle bagher real body main hoti hai, jiss ka upper aur lower sides par long equal length k shadows hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (800).jpeg
Views:	12
Size:	3.4 کلوبائٹ
ID:	12518842

    Candles Formation


    Rickshaw man candles umoman prices main ziada tar dekhaye dete hen, q k ye aik neutral candle shumar hoti hai. Ye candle aik hi waqat main market main buyers aur sellers ki equal taqat ki akasi karti hai, jo prices ko aik khas position par mustehkam rakhti hai. Candle ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (2235).png
Views:	23
Size:	3.0 کلوبائٹ
ID:	12518843

    Rickshaw Man Candle: Rickshaw man candlestick prices k darmeyan main ziada tar neutral hoti hai, jab k bottom aur top prices par trend reversal ki salaheyat rakhti hai. Ye candle aik bagher real body main hoti hai, jab k ye candle single hone ki waja se bullish aur bearish dono tarah ka kaam kar sakti hai. Candle k upper aur lower sides par shadow hota hai, jo k dono sides par size main taqreeban equal hota hai.

    Explanation

    Rickshaw man candlestick aik bagher real body main upper aur lower sides par long shadow ki hoti hai. Ye candle bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai, jab k candle ki oper aur close price k upper aur lower sides par equally long shadows hote hen. Jab bhi stock ki prices par selected timeframe k mutabiq pehle aik side se ziada pressure par jata hai aur baad main dosri taraf se same pressure parta hai, to uss sorat main ye candle banti hai, lekin buyers aur sellers ki market main equal pressure ki waja se candle ki dono taraf shadow ban same ban jata hai. Rickshaw man candle dekhne main same small doji star candle jaise hoti hai, lekin iss k upper aur lower sides ka shadow length main ziada hota hai, jiss se dono candles k darmeyan bohut wazih faraq a jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2236).png
Views:	23
Size:	2.6 کلوبائٹ
ID:	12518844

    Trading

    Rickshaw man candlestick single candle pattern honne ki waja se traders k leye wazih signal nahi deta hai, aur khas kar sideways market main to ye invalid ya neutral candle hoti hai. Ye candle prices k top ya bottom main main thori bohut moasar ho sakti hai, lekin uss k leye bhi confirmation ka hona zarori hai. Candle ki trading se pehle market main long term ki timeframe select karne k baad prices k top ya bottom position dekh len. Uss k baad kuch indicators jaise CCI indicator aur stochastic oscillator par value dekh len jo k overbought ya oversold zone main hona zarori hai. Candle par trading ziada riski hai, iss waja se Stop Loss candle k bottom ya top prices se two pips below ya above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (801).jpeg
Views:	7
Size:	28.9 کلوبائٹ
ID:	12518841

اب آن لائن

Working...
X