Bullish In-Neck Line Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish In-Neck Line Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish In-Neck Line Pattern


    Bullish in-neck line candlestick pattern two days candlestick par mushtamil aik bullish trend continuation pattern hai, jo k prices k uptrend ya bullish trend main banta hai. Pattern ki khas baat ye hai k ye pattern dekhne bhi same dosre two days candlestick pattern ki tarah bullish aur bearish candles se mel kar bana hai, lekin bajaye trend reversal k ye pattern trend continuation ko ziada tarjeeh deta hai, jiss se prices same sabeqa trend ko hi follow karna shoro karti hai. Pattern ki pehli candle aik strong aur long real body main white ya bullish candle hoti hai, jab k dosree candle bhi real body wali hoti hai, lekin ye candle aik to bearish hoti hai, dosri ye candle white candle se above gap main open hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (793).jpeg
Views:	6
Size:	8.8 کلوبائٹ
ID:	12518818

    Candles Formation


    Bullish in-neck line candlestick pattern same format main banta hai, jiss tarah se dark cloud cover pattern hota hai, lekin faraq sirf dosri candle ka small size main banna aur dosra ye candle pehli candle k midpoint se upper close hoti hai, pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    1. First Candle: Bullish in-neck line candlestick pattern main banne wali pehli candle aik strong aur long real body wali white ya green yanni bullish candle hoti hai. Ye candle bullish trend ki continuation ko zahir karti hai, jo k pehle se hi prices main maojood hota hai.

    2. Second Candle: Bullish in-neck line candlestick pattern ki dosri candle black ya red yanni bearish candle bannti hai, jo k size main pehli candle se umoman small hoti hai, lekin zarrori nahi hai, k aisa hi ho. Ye candle pehli candle se above gap main open hoti hai, jab k close pehli candle k real body main hoti hai. Bearish candle ka close point pehli candle k midpoint ya 50% ko cross nahi karna chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (2232).png
Views:	6
Size:	469 بائٹ
ID:	12518819

    Explaination

    Bullish in-neck line candlestick pattern dekhne main same dark cloud cover pattern jaisa hota hai, lekin dosri bearish candle ka close point pehli candle k midpoint ya 50% se above hota hai. Ye trend continuation pattern hai, jo k prices k top ya bullish trend main banta hai. Ye pattern trend reversal pattern k muqabele main ziada kamyab rehta hai. Pattern ki pehli candle aik long real body wali hoti hai, jo k bullish trend ki alamat hoti hai. Jab k dosri candle size main pehle candle se kam hoti hai, jiss ka open price pehli candle se above gap main hota hai aur closing price pehli candle k midpoint se thora sa upper hota hai. Pattern ki dosri candle agar pehli candle k closing price se pehle close hoti hai, to ye pattern bullish on-neck line pattern ban jata ahi, jiss ki bhi same bullish trend continuation wali haseyat hoti hai.

    Trading

    Bullish in-neck line candlestick pattern main dosri bearish candle pehli bullish candle k midpoint ya 50% hese ko cross nahi karta hai, iss waja se ye candle ziada mazbot ya moasar nahi hoti hai. Bearish candle dark cloud cover pattern ki tarah pehli candle se above open hoti hai, lekin selling pressure ki kami ki waja se pehli candle k midpoint ko cross nahi kar pati hai. Market main ya to buying pressure ziada hota hai, aur ya selling pressure kam honne ki waja se qeematen ziada taqat se bearish nahi jati. Pattern par trading se pehle confirmation candle ya indicator ka honna zarori hai, jo k aik teesri bullish candle ho sakti hai. Ye pattern newly bullish breakout trend par ziada kamyab rehta hai. Teesri candle k baad market main buy ki entry ki ja sakti hai. Jab k Stop Loss pattern ki pehli candle k lower par set hoga.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20220330_201833.png
Views:	1
Size:	4.4 کلوبائٹ
ID:	12518820

اب آن لائن

Working...
X