On-Neck Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    On-Neck Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    On-Neck Candlestick Pattern


    On-neck candlestick pattern two days candlestick par mushtamil aik bearish trend continuation pattern hai, jo k prices k downtrend ya bearish trend main banta hai. Pattern ki khas baat ye hai k ye pattern dekhne main same "Bullish Meeting Line Candlestick Pattern" jaisa hi hai, aur dekhne main bhi same lagta hai, lekin "On-Neck Pattern" main dosri white ya green yanni bullish candle pehli bearish candle k closing price ko above cross nahi karti hai. Pattern ki pehli candle aik strong aur long real body main black ya bearish candle hoti hai, jab k dosree candle bhi real body wali hoti hai, lekin ye candle aik to bullish hoti hai, dosree candle pehli candle ki nisbat small ho sakti hai. Pattern market main bulls ki nakam koshash ko dekhati hai, jiss se wo market main control hasil karne ki koshash main hote hen, lekin kam demand aur high supply ki waja se aisa mumkin nahi hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2216).png
Views:	1
Size:	8.8 کلوبائٹ
ID:	12518719

    Candles Formation


    On-neck pattern same format main banta hai, jiss tarah se "Bearish thrusting line pattern" hota hai, lekin faraq sirf dosree candle ka small size main banna aur dosra ye candle pehli candle k closing price se below close hoti hai, pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (2213).png
Views:	6
Size:	1.0 کلوبائٹ
ID:	12518720

    1. First Candle On-neck pattern main banne wali pehli candle aik strong aur long real body wali black ya red yanni bearish candle hoti hai. Ye candle bearish trend ki continuation ko zahir karti hai, jo k pehle se hi prices main maojood hota hai. Candle ka close price open price se nechay hota hai.

    2. Second Candle: On-neck pattern ki dosri candle white ya green yanni bullish candle bannti hai, jo k size main pehli candle se taqreeban small hoti hai, lekin aisa zarori nahi hai. Ye candle pehli candle se below gap main open hoti hai, jab k close pehli candle k real body se pehle low price ya closing price k qareeb band hoti hai. Dosri candle ka close price pehli candle k close price ya real body main dakhel nahi honi chaheye.

    Explanation


    On-neck pattern aik bearish trend continuation pattern hai, jo k do candles se mel kar banta hai,. Pattern ki dosri candle ku real bullish real body k hone k bawajod bhi ye pattern trend reversal main nakam rehti hai, q k dosree bullish candle ka close point pehli candle k closing price se below hota hai. Ye trend continuation pattern hai, jo k prices k bottom ya Bearish trend main banta hai. Ye pattern trend reversal pattern jaise "Dark cloud cover pattern" ya "Bearish Meeting Line Pattern" k muqabele main ziada kamyab rehta hai. Pattern ki pehli candle aik long real body wali hoti hai, jo k bearish trend ki alamat hoti hai. Jab k dosree candle size main pehle candle se umoman kam hoti hai, jiss ka open price pehli candle se below gap main hota hai aur closing price pehli candle k closing price se thora sa nechay hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2213).png
Views:	6
Size:	1.0 کلوبائٹ
ID:	12518720

    Trading


    On-neck pattern main dosree bullish candle pehli Bearish candle k closing price ko cross nahi karta hai, iss waja se ye candle ziada mazbot ya moasar nahi hoyi hai. Bullish candle pehli candle se below gap open hoti hai, lekin buying pressure ki kami ki waja se pehli candle ki real body main dakhil nahi hoti hai. Market main ya to selling pressure ziada hota hai, aur ya buying pressure kam honne ki waja se qeematen ziada taqat se bullish nahi jati. Pattern par trading se pehle confirmation candle ya indicator ka honna zarori hai, jo k aik teesri bearish candle ho sakti hai. Ye pattern newly bearish breakout trend par ziada kamyab rehta hai. Teesri candle k baad market main sell ki entry ki ja sakti hai. Jab k Stop Loss pattern ki pehli candle k top ya open price se two pips above par set hoga.

    Click image for larger version

Name:	images (2215).png
Views:	4
Size:	18.0 کلوبائٹ
ID:	12518718

اب آن لائن

Working...
X