PIPs
PIP or “Percentage in Point” do currencies k darmeyan sharah e tabadela main qeemat ki sab se choti tabdeeli ki numayendaggi karti hai. "Bank of International Settlement" k mutabiq forex trading market main sab se ziadda trading hone wali currencies main American Dollar (USD), Euro (EUR), Japanese Yen (JPY) aur aik khas had tak British Pound (GBP) shamil hen.
In currencies ka hawala (quoted) ishareya k baad fourth fourth decimal point par hai, jiss kamatlab hai k tabdeeli ki sab se choti ikaye ishareya k baad fourth number hai. Sirf Japanese Yen (JPY) ko chor kar baqqi sab par ye rule apply hotta hai. Japanese Yen (JPY) wali currencies pairs main ishareya k baad dosre number pips ki ikaye hotti hai.
Forex trading market main currencies pairs ki up down harkat pios main hotti hai, iss waja se market main honne wale nafa aur nuqsan (profit and loss) ka hisab bhi pips main hi count kia jatta hai. Pips k mutaleq knowledge rakhna aur iss ki calculation bohut zarorri hai. Pips ko samajhne k leye darjazzel example par gjawar karen, k ye kese kaam kartta hai, ya bantta hai?
Example:
Forex trading main currencies chonkeh pairs ki sorat main hotti hai, iss waja se jab bhi hum aik currency ko buy kartte hen, to automatically dosre currency ko sath main sell kar rahe hotte hen. Currency pairs main 1st currency ko Base Currency jab 2nd currency ko Quote Currency kaha jatta hai. Base currency k buy karnne se quote currency sell hotti hai, aur sell karnne par buy hotti hai. Ab atte hen apnni example ki tarraf;
Aggar aik currency jore jaisa k EURUSD ki maojooda qeemat 1.1350 ho to iss ka matlab hai k one (1) EUR 1.1350 USD k barabar hai. Currency pair main base currency ki value hamesha 1 k barabar hoggi aur quote currency ki value maukhtalif hoggi, ye ziadda ya kam ho saktti hai.
Jab aap EURUSD ko maojooda qeemat yanni 1.1350 par buy kartte ho, currency pair bullish harkat karta howa 1.1352 tak jatta hai, aur aap iss point par currency jore k trade ko close kartte ho to iss ka matlab hai k aapko 2 pips hasil howe, baqqi pios k mutabiq munafay ka inhisar lot size par munhasir hotta hai, bare lot size se nafa aur nuqsan ziadda hotta hai, jab k small lot size ye kam hotta hai.
Pipette
Pipette "Pips" ki mazzeed chotti ikaye hotti hai, ya aik pip ka daswan (10th) hisa hotta hai. Wese trading plateforme main ye nazzar to atta hai, lekin iss ki normal trading main koi khas value nahi hotti hai, pips ki asal value 4rth digit tak hi hotti hai. Q k asal pip uss se hi shoro hotta hai. Pipette ka istemal sirf aik hi jaggah hotta hai aur wo hai "Nano accounts" ya "cent account" amin. Cent account main broker apne clients ko cent main trading karnne ki sahulat dette hen, aur ye account ziadda tar new traders ya kam experience wale trader market se waqefeyat hasil karnne k leye istemal kartte hen. 1Pipeete = 0.1 Pip or 0.00001
Pips Counting
1.1352 par trading karnne wala EURUSD currency jore main 1 EUR 1.13852 k value k barabar hotta hai. Ab ye 1.1352 value 11,352 pips k barbar hai. Pips kisi jore ki vlaue ko right side se left side ki taraf count kartta hai. Jesa k, 1.1352 main last 2 digit pehla pip hogga, jo k 2 pips k barabar hogga, isi tarah 5 digit 50 pips ka, 3 digit 300 pips, 1 digit 1000 pips aur last ya left side se pehla digit 10000 pips k barabar hai.
How to Calculate Pips?
Faraz karen k aap ne EURUSD ki maojooda price 1.1350 par aik lot ki position open ki hai, yanni iss currency jore ko yahan par buy kia hai, to iss ka matlab hai k 10000 EUR ko buy karne k leye aap ko 1,1350 USD ki zarrorat hoggi.
Ab aggar ye price 1.1352 par chali jatti haiaur app ko 2 pips hasil hotte hen, to aap ko iss ko peso main tabdeel karnna zarrori hai.
Pehle hum pips ko exchange karengay, q k humen 2 pips ka munaffa howa tha. Chonkeh 1pip = 0.0001 hai.
((0.0001/1.1350) x 100,000) = 8.8 EUR aik pip ki value hai. Aapko trading main 2 pips ka munafa howa tha aur 1 pip ka munafa 8.8 hai to 2 pips ka munaffa hogga,
2pips × 8.8 = $17.6 . Big lot size se pips ki vlaue main faraq ayega jo k ziadda munafa ya loss hogga aur small lot size se bhi pips ki value up ya down hoggi, jo k kam naffa ya nuqsan ka bahis bannega.