After Top Gap Down Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    After Top Gap Down Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    After Top Gap Down Candlestick Pattern


    Technical traders main aajkal Japanese candlestick charts price action ka fori analysis karne ka sab se maqbool tareeqa hen. Candlesticks pattern dosre charts patterns k muqablay main dekhne k tor par bohat ziyada maloomat paish karte hen. Candlesticks market ka sab se high price, low price, open price aur close price ko aik nazar mein dikhata hain. Qeematon ki pichli naqal o harkat ko track karne ke liye un ka istemaal karne ke sath sath, technical traders Japanese candlestick ke patterns ki talaash karte hen ta-keh is baat ka pata lagaya ja sakay ke market kahan ja rahi hai. Candlestick charts pattern prices k top aur bottoms par bohut ziada moasar hote hen, jiss se market ka current trend reversal hone ka sabab banta hai. After top gap down candlestick pattern bhi prices k top par bearish trend reversal ka kaam karta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2142).png
Views:	1
Size:	398 بائٹ
ID:	12516741

    Candles Formation


    After top gap down candlestick pattern prices k uptrend ya bullish area main bearish trend reversal hone ka aik wazih indication deta hai, jiss se prices ka bearish trend reversal main tabdeel hoen ka zarya hote hen. After top gap down candlestick pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss ki tafseel darjazzel hai:

    1. First Candle: After top gap down candlestick pattern prices k top main aik strong bullish candle hoti hai, jo k market k mazeed jane ka indication deti hai. Ye candle real body main bullish hoti hai, jiss k upper aur lower sides par shadow ya wick ho sakte hen, lekin real body lazmi shadow ki nisbat strong honi chaheye.

    2. Second Candle: After top gap down candlestick pattern ki dosri candle bhi strong bullish candle hoti hai, lekin ye candle pehli candle ki nisbat real body main small hoti hai, jiss se market par bullish trend k asarat kam hona shoro hote hen. Ye candle pehli candle ki real body main open ho kar upper par close hoti hai.

    3. Third Candle: After top gap down candlestick pattern ki teesri candle bhi bullish candle hoti hai, lekin ye candle sab se small real body main hoti hai, jo k umoman aik bullish Spinning top candle banti hai. Ye candle dosri bullish candle se above par gap main banti hai, jiss k up aur down side par small si wicks ho sakte hen.

    4. Fourth Candle: After top gap down candlestick pattern ki fourth candle aik bearish candle hoti hai. Ye candle teesri bullish Spinning top candle k barabar main banti hai, jo k prices ko mazeed bullish jane se rokhti hai. Ye candle bullish candle k baad open ho kar dosri aur teesri candle k darmeyna gap main close hoti hai.

    5. Fifth Candle: After top gap down candlestick pattern ki last ya fifth candle aik strong bearish candle hoti hai. Jo k fourth bullish candle se below gap main banti hai. Ye candle trend reversal ki indication detti hai, jo k prices ko bohut teezi k sath bearish push karti hai. Ye candle market ki maojoda trend ki tabdeeli ka signal deta hai.

    Explanation

    After top gap down candlestick pattern prices k top main bata hai, jab bhi ye market main bohut high area ya bullish trend k akher main trade kar rahi hoti hai. After top gap down candlestick pattern panch candles par mushtamil aik bearish trend reversal pattern hai, jiss main shamil pehli teen candles bullish hoti hai. Bullish candles main pehli candle strong aur long real body wali bullish candle hoti hai, jab k dosri aur teesri candles size main pehli candle se kam hoti hai, jab k teesri small bullish candle aik white Spinning top candle hoti hai, jo k dosri candle se ooper gap main banti hai. Pattern ki chothi candle aik bearish small real body wali hoti hai, jo k bullish trend ka khatma karti hai. Pattern ki akhari candle aik bearish long real body wali bearish candle hoti hai, jo k chothi candle se below gap main banti hai.

    Trading

    After top gap down candlestick pattern market k current trend ko khatam karke prices ko bearish trend main badal deti hai. Ye pattern traders ko sell ka signal deta hai, jiss par market main entry ki ja sakti hai. Pattern par trading se pehle aik bearish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main lazmi honi chaheye. Pattern k baad bullish candle banne se iss ka asarat khatam ho jate hen, jiss par trade open nahi katna chaheye. CCI indicator aur stochastic oscillator se confirmation lene k leye inn ka value overbought zone main hona chaheye. Pattern par trade entry k sath stop loss ka bhi zarror istemal karen. Stop Loss pattern k sab se top area ya teesri Spinning top candle k upper se two pips above set karen.

اب آن لائن

avatar Ayn
Working...
X