Risk and reward ratio kia hy or is ko kasy manage krty hn?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Risk and reward ratio kia hy or is ko kasy manage krty hn?
    Dear Forex members, jab ham Forex trading business mein kam kar rahy hoty hain to ham jab bhi apna Koi order place karty hain to us waqt hamein risk or reward ratio ko hamesha samny rakhty huye kam karny ki zarurat hoti hai. Kyun k jab ham apny account ko proper manage karny k bad risk management aur money management k mutabik apna Kam karty hain to wo hamein successful bhi banata hai. Dear aaj mein ap sy is sy related kuch important batien discuss karon ge.


    What is Risk & Reward Ratio :



    Dear risk and reward ratio k concept ko jab aap study karty hain to ismein ham ko yah idea milta hai k jab ham Koi amount hasil karna chahty hain, to usk liye kitna expenses bardasht kar sakty hain. For example jab ham aik profit ko expect kartu huye market mein enter hoty hain, to definitely us k against aik amount ko expenditure mein bhi shamil karna hoga.

    Click image for larger version

Name:	IMG-20220326-WA0075.jpg
Views:	1
Size:	40.0 کلوبائٹ
ID:	12516611




    Benefit Of Risk & Reward Ratio :


    Dear Forex trading business mein agar aap apny account ki safety level ko maintain karna chahty hain, to definitely aapko risk and reward ratio ko study karna hota hai. kun k without risk and reward ratio aap kabhi bhi successful trading nai kar sakty hain. Isliye apny account level ko maintain karny k liye aapko above-mentioned information ki base per hi trading activities ko carry on karna hoga. Tab he aap apny account ki safety k mutabik kam kar ky kamyab ho sakty hain.

    Click image for larger version

Name:	IMG-20220326-WA0076.jpg
Views:	1
Size:	9.4 کلوبائٹ
ID:	12516612




    Trading With Risk & Reward Ratio :


    Risk and reward ratio sy trading karny k liye zaruri hai k ham apny account per reading karty huye kam sy kam risk ly jitna ham risk kam len gay utna hi hamara nuksan kam hoga. Jitna ham risk zyada len gy utna hi hamara nuksan b zyada hoga. Isliye hamain trading karty huye risk reward ratio ko yad rakhna chahie tab hamain kamyabi hogi. Ham apny account mein jitna zyada risk len gy utna he humra fayda ho ga isliye aapny account sy itna risk lena chahie ki agar ham loss ho jaaye to ham usko aasani k sath recover ka saky aur dobara acchi trading kar saky.

    Click image for larger version

Name:	IMG-20220326-WA0077.jpg
Views:	1
Size:	10.5 کلوبائٹ
ID:	12516613



    Conclusion :


    Deer according to the my point of view risk and reward ratio kisi bi investor or trader k liye aik bahut hi important tool hota hai. Agar aap isk mutabik apna Kam continue kartu hain to aapko uska achcha advantage achcha profit mil sakta hai. Aur agar aap iski importance ko neglect karty huye risk ly rahy hoty hain to aap apny account ko save nahin rakh paaty aur na hi aap successful trading kar sakty hain.

اب آن لائن

Working...
X