Spinning Top Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Spinning Top Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Spinning Top Candlestick Pattern


    Japanese candlesticks baar chart ki nisbat iss waja se ziada pasand ki jati hai, q k ye candles un ki nisbat bohut ziada information reakhti hai. Baar chart aik timeframe ka open, close, low aur high prices dekhate hen, jab k candlestick open, close, low, high, bullish, bearish aur neutral values bhi dekhate hen. Candlesticks chahay single hon ya tadad main ziada hon, innki information ziada reliable hoti hai, jiss ko analyst ziada pasand karte hen. Spinning top candle bhi aik single candle hoti hai, jo k umoman aik neutral candle tasawar ki jati hai. Ye candle small real body main hoti hai, jiss ka upper aur lower sides par small equal length k shadows hota hai.

    Click image for larger version

Name:	spinning_top (1).png
Views:	15
Size:	11.9 کلوبائٹ
ID:	12516427

    Candles Formation


    Spinning top candles umoman prices main ziada tar dekhaye dete hen, q k ye aik neutral candle shumar hoti hai. Ye candle aik hi waqat main market main buyers aur sellers ki equal taqat ki akasi karti hai, jo prices ko aik khas position par mutehkam rakhti hai. Candle ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (2055).png
Views:	22
Size:	5.0 کلوبائٹ
ID:	12516428

    Spinning Top Candle: Spinning top candlestick prices k darmeyan main ziada tar neutral hoti hai, jab k bottom aur top prices par trend reversal ki salaheyat rakhti hai. Ye candle aik small real body main hoti hai, jab k ye candle single hone ki waja se bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai. Candle k upper aur lower sides par shadow hota hai, jo k dono sides par size main equal hota hai.

    Explanation

    Spinning top candlestick aik small real body main upper aur lower sides par small shadow ki hoti hai. Ye candle bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai, jab k candle ki real body se upper aur lower sides par equally small shadows hote hen. Jab bhi stock ki prices par selected timeframe k mutabiq pehle aik side se ziada pressure par jata hai aur baad main dosri taraf se same pressure parta hai, to uss sorat main Spinning top candle banti hai, lekin buyers aur sellers ki market main equal pressure ki waja se candle ki dono taraf shadow ban jata hai. Spinning top candle dekhne main same high wave candle jaise hoti hai, lekin iss k upper aur lower sides ka shadow length main kam hota hai, jiss se dono candles k darmeyan bohut wazih faraq a jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2056).png
Views:	13
Size:	12.1 کلوبائٹ
ID:	12516429

    Trading

    Spinning top candlestick single candle pattern honne ki waja se traders k leye wazih signal nahi deta hai, aur khas kar sideways market main to ye invalid ya neutral candle hoti hai. Ye candle prices k top ya bottom main main thori bohut moasar ho sakti hai, lekin uss k leye bhi confirmation ka hona zarori hai. Candle ki trading se pehle market main long term ki timeframe select karnw k baad prices k top ya bottom position dekh len. Uss k baad kuch indicators jaise CCI indicator aur stochastic oscillator par value dekh len jo k overbought ya oversold zone main hona zarori hai. Candle par trading ziada riski hai, iss waja se Stop Loss candle k bottom ya top se two pips below ya above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (702).jpeg
Views:	6
Size:	21.7 کلوبائٹ
ID:	12516426

اب آن لائن

Working...
X