Pivot Point
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Pivot Point
    Pivot Point

    Forex trading market main jab bhi pivot points ki baat ki jati hai, to ye trading k dowran bohut ziada madadgar sabit hote hen. Forex Pivot Points technical indicators hen, jo traders ko ye batane main help karte hen, k aya forex market ka trend deye gaye timeframe k muqabele main kitna bullish ya bearish hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2000).png
Views:	1
Size:	3.3 کلوبائٹ
ID:	12516229

    Forex Pivot Points ka hisab pechle din k prices k high, low aur close k hisab se lagaya jata hai. Forex Pivot Points ki afadeyat aglay din main hoti hai, jab bhi prices pivot point k upper side par trade kar rahi hoti hai to ye bullish hoti hai jab k pivot point k nechay se trading bearish hoti hai.
    Pivot points indicator ki basic main shumar ki jati hai, uss main aam tawar par degar support aur resistance levels shamil hote hen, jo pivot point k hisab par mabni hote hen. Pivot points k ye levels traders ko mumkina prices k support aur resistance levels ki talash karne madad deti hai.
    Iss k elawa agar pivot point k levels se agar prices barh jati hai to iss ka matlab hota hai k maojoda trend issi semat main mazzeed agay jane ka imkaan ziada hai. Pivot point trend lines, Fibonacci levels, RSI, EMA, moving averages, candlestick formations aur dosre indicators se mushabehat rakhta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1998).png
Views:	17
Size:	30.2 کلوبائٹ
ID:	12516223

    Pivot Point Explaination

    Pivot point ko sahi tareeqay se lago karne par prices ki overall trend aur trend ki tabdeeli ko moasar tareeqay se istemal kia ja sakta hai. Pivot point mustaqil main prices ki support aur resistance zone ki prediction k leye pechle din ki candles ki high, low aur close prices ka istemal karte hen. Pivot points ka sahi istemal trading main bohut ziada faidamand sabit ho sakte hen.
    Pivot points ka istemal dosre technical tools k sath istemal karne par ye aik hi wawat main market main bohut ziada aur achanak buying aur selling ki nishan-dahi karne main madad kar sakte hen, jo forex traders k leye profit aur prices ka breakout honne ka saba bante hen. Pivot points ko har aik timeframe main istemal kia ja sakta hai, aur forex traders ko entry, exit aur stop loss lagane main madad deti hen.
    Jahan aik day trader daily trading k leye har din pivot points ka hisab lagane k leye minutes, hourly aur daily chart ka istemal karta hai, aik swing trader har hafte k leye pivot point ko istemal karne k leye daily, weekly aur monthly data ko analyse karta hai. Dilchasp baat ye hai k bare level k investors bhi pivot points ka faida utha sakte hen aur anne wale saal k leye aham levels ka andaza lagane k leye salana data istemal kar sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1999).png
Views:	4
Size:	18.4 کلوبائٹ
ID:	12516224

    Pivot Points Calculation


    Pivot points prices k leye support aur resistance levels ki indication detti hai iss waja se pivot point k centre price se upper levels ko "R" se jab k lower prices ko "S" se zahir kia jata hai, jaise R1, R2, R3 aur S1, S2, S3.
    Pivot point k sab se zarori levels main pehli resistance level "R1", pehli support level "S1" aur asal pivot point level shamil hai. R1 aur S1 k darmeyan fasela aam trading range ko zahir karti hai.
    Dosre pivot points k levels aam trading range k upper aur lower sides tak pheli howe hoti hai. Jab bhi prices ki movement "R2" ya "R3" tak pohunch jati hai, to market ki ye condition overbought zone hoti hai. Jab prices ki movement "S2" ya "S3" tak jati hai to ye condition oversold zone ban jati hai. In levels main traders market main entry ki bajaye trades ko exit ya close karna ziada tarjeeh deta hai.
    Pivot point k levels malom karne k leye pehle main pivot point ki calculation ki jati hai:


    Pivot Point (PP) = (Daily High + Daily Low + Close) / 3

    Pehle pivot point ki calculation karne k baad wale pivot points ko malom kia jata hai.

    Calculating the First Pivot Resistance and Support


    R1 = (2 x Pivot Point) – Daily Low

    S1 = (2 x Pivot Point) – Daily High

    Calculating the Second Pivot Support and Resistance


    R2 = Pivot Point + (Daily High – Daily Low)

    S2 = Pivot Point – (Daily High – Daily Low)


    Calculating the Third Pivot Point Support and Resistance

    R3 = Daily High + 2 x (Pivot Point – Daily Low)

    S3 = Daily Low – 2 x (Daily High – Pivot Point)

    Click image for larger version

Name:	images (665).jpeg
Views:	1
Size:	19.9 کلوبائٹ
ID:	12516225

    Pivot Point aur Fabonacci Levels main Faraq


    Pivot points aur fabonacci levels (retracement and extension) dono prices k mumkina support aur resistance zone ko malom karne main madad karte hen. Fabonacci retracement aur extension aam tawar par maojooda trend k high aur low k sath munsalik hote hen, yanni fabonacci lines ko prices k top aur bottoms k darmeyan draw kia jata hai, jab k pivot points ka hisab automatically pechli din k candles se kia jata hai. Fabonacci levels ka hisab percentage se lagaya jata hai jab k pivot point main percentage ka hisab nahi hota. Pivot point main fixed numbers par mabni hai, yani k pechle din k high, low aur close price.

    Pivot Point Trading Strategies


    Forex market main pivot point ko istemal karne ka aik moasar tareeqa resistance levels par sell karna aur support levels par ferokht karna hai. Iss k elawa aap resistance level k upper aur support level k nechay stop loss set kar sakte hen. Jab bhi prices support levels ko touch karti hai to traders k leye aik achih opportunity hoti hai k wo market main buy ki entry karen, jab k resistance level par market main sell ki entry ki jati hai.
    Trend confirmation k leye pivot point ko dosre reliable indicator ya money flue index indicator k sath bhi istemal kia ja sakta hai. Misal k tawar par agar jab prices pivot point k resistance level ko touch karti hai aur prices RSI indicator par bhi overbought position par hon, to yahan par sell ka signal peda hoga, jab k buy k signal k leye pivot point ka support zone ya level main hona chaheye jab k RSI indicator main prices ka oversold position par honna chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (2001).png
Views:	1
Size:	25.5 کلوبائٹ
ID:	12516228

اب آن لائن

Working...
X