Three Stars In The North Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Three Stars In The North Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Three Stars In The North Pattern


    Candlestick charts aik lachakdar aur asaan technical indicators ka kaam karti hai, jiss ko new traders aur expert asani samajh pate hen. Candlesticks charts ko akailey ya deegar technical indicators ke sath mila kar analysis k leye istemaal kya ja sakta hai. Candlestick technical analysis se mansoob aik ahem faida yeh bhi hai, ke un analysis ko deegar takneeki tools ke bagher bhi istemaal kya ja sakta hai. Technical analysis main candlesticks aik izafi tools k tawar par istemal kia ja sakta hai, jo k bottom ya top prices par bohut ziada reliable hota hai. Three stars in the north pattern bhi unn candlestick pattern main shumar kia ja sakta hai, jo k prices k top main bearish trend reversal ka kaam karta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1996).png
Views:	1
Size:	9.0 کلوبائٹ
ID:	12516211

    Candles Formation


    Three stars in the north pattern prices chart k top ya high prices main banne ki waja se bearish trend reversal pattern ka kaam karta hai. Ye pattern teen lagatar bullish candles par mushtamil hota hai, jiss main har agli candle pechli se real body main kam hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (1994).png
Views:	9
Size:	1.6 کلوبائٹ
ID:	12516212

    1. First Candle: Three stars in the north pattern main shamil pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k prices k uptrend ka ishara deti hai. Ye candle bagher lower shadow k hoti hai, jiss k upper side par aik lamba saya hota hai, jo k taqreeban candle ki real body k barabar hota hai. Ye candle prices par buying pressure ko zahir karti hai.

    2. Second Candle: Three stars in the north pattern ki dosri candle bhi pehli candle ki tarah aik bullish candle bhi hoti hai, aur same ussi tarah upper shadow nahi hota hai. Candle k upper side par shadow real body k jitna lamba hota hai. Jab k ye candle pehli candle k real body ya uss k closing point par open ho kar upper par close hoti hai, lekin ye candle pehli candle se size main kam hoti hai.

    3. Third Candle: Three stars in the north pattern ki teesri candle aik small marubozu bullish candle hoti hai, jiss k upper aur lower dono sides par koi shadow ya wick nahi hota hai. Ye candle ziada tar dosri candle k real body main banti hai, jiss se in dono candles ka apna aik descending hawk pattern ban jata hai.

    Explanation

    Three stars in the north pattern ka shumar prices main bearish trend reversal main hota hai, jab bhi prices market k top ya bullish trend main hoti hai. Ye pattern teen musalsal ya lagatar teen bullish candles par mushtamil pattern hai, jiss main shamil pehli candle aik long real body ki hoti hai. Iss candle k lower side par koi shadow nahi banta hai, yanni ye candle aik open bullish marubozu candle hoti hai. Pehli candle k upper side par real body k jitna lamba aik shadow banta hai. Dosri candle bhi same pehli candle ki tarah bullish marubozu candle banti hai, lekin size main kam hoti hai. Pattern ki teesri candle aik small real body ki candle hoti hai, jo k dosri candle ki real body main banti hai. Ye candle mukamal bullish Marubozu candle hoti hai, jiss k open aur close par koi shadow ya wick nahi hota hai. Pattern ki dosri aur teesri candles apas main descending hawk pattern tashkeel dete hen.

    Click image for larger version

Name:	images (1997).png
Views:	7
Size:	1.5 کلوبائٹ
ID:	12516213

    Trading

    Three stars in the north pattern trading main trader ko sell ka signals deta hai. Ye pattern dekhne main bullish squeeze alert pattern ki tarah behaviour deta hai, jiss k banne k baad market main sell ki entry ki ja sakti hai. Ye pattern prices main buyers k control ka ikhtetam aur market ka control sellers main shift hone ka signal deta hai. Pattern par trading se pehle aik bearish confirmation candle ka hona zarori hota hai, q k ye pattern teen bullish candles par hota hai. Pattern k baad bullish candle banne se pattern invalid ho jayega, jab k indicator ki confirmation main CCI indicator aur stochastic oscillator par value overbought zone main hona chaheye. Stop Loss pattern k sab se upper position jo k umoman dosri candle ka top hota hai, se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (664).jpeg
Views:	1
Size:	13.4 کلوبائٹ
ID:	12516214

اب آن لائن

Working...
X