Demo Account
Forex trading market traders k leye pur-kashesh mawaqey faraham karti hai, lekin iss main bohut ziada risk bhi shamil hoti hai. Is waja se live trading account main entre hone se pehle forex trading ka demo account open karna behtar hai. Demo account "Live Account" k taraz ka forex trading ka account hota hai, jiss main trading to live account jaise hoti hai lekin iss main shamil sarmaya virtual hota hai. Demo account ki trading ka tujruba bhi live account jaisa hota hai, jiss ko naqli funds par sar-anjam deya jata hai. Demo account main risk zero hota hai, q k aap ka trading virtual money par hota hai.
Demo Account Bagher Sarmaye k Open karen
Forex brokers (jaise; Instaforex) ka demo account basically aik practice account hota hai, jo brokers ki taraf se bulkul free muhaya kia jata hai. Demo account ko create karne k leye just emain, name aur number ya kuch broker to bagher number k bhi sirf email par bhi sahulat dete hen. Demo account k sath app forex trading plateform k muta-aded hososeyat se bakhobi aggah ho sakte hen aur koi bhi real deposit karne se pehle forex trading market k har tarah k movement se waqif ho sakte hen. Demo account main virtual money ki koi kami nahi hoti, jiss se baar baar mashaq karne se app ko behtar tawar par samajhne main madad melti hai, k trading ko kese anjaam deya jaye.
- Demo account trading k dowran anne wale risk se bhi aggah karta hai, aur iss k sath sath dajazzel awamel ka bhi batati hai;
- Completely Free: Demo account ki sab se bari hososeyat ye hai k ye aap ko free main deya jata hai. Free account se aap forex trading main kaam karne wali har tarah ki strategy jaise; scalping waghera ko free main baar baar test kar sakte hen, jiss se baad main trading main bohut help melti hai.
- Trade with Virtual Money: Aggar cheh demo account main istemal honne wali currencies ya money naqli yanni khayali hoti hai, lekin iss k bawajood iss ka trading tareeqay kar real trading se mukhtalif nahi hai.
- Real Plateform k Tamam Hososeyat: Real account main istemal honne wale tools, jaise ; indicators, oscillators, candlestick patterns ya chart pattern waghera sab ka istemal same Demo account main bhi wese ho hota hai, iss waja se live account opening se pehle hi aap ko market ki har tarah k sahuleyat se bakhabar kia jata hai.
Demo account har tarah se trading k leye aik behtareen skill, experience aur trading knowledge faraham karta hai, iss waja se koi bhi trader bagher demo account k istemal keye live trading main kamyab nahi ho sakta. Forex trading k bohut ziada risk aur taqreeban 90% se above traders ka samaya loss hone ki waja se ye trading plateform bagher experience k karna namumkin hai.
Demo account par har trah se sahuleyat honne ki wajase trading techniques aur technical analysis main bohut ziada madad faraham karta hai. Aggar demo account par kam az kam six months tak trading sar-anjam de jaye to ye live trading k leye ziada faida mand ho sakta hai.
Demo account par trading se pehle ye baat lazmi zehen main rahe k demo aur real account ki psychology main bohut ziada difference hai. Demo account k trade loss hone main humen koi faraq nahi parta hai, yanni hum mentally relax rehte hen, aur jazbati kisi bhi sorat main nahi hote hen, jab k real account main trader ka rawaya bohut mukhtalif hota hai. Iss waja se demo account par kaam karte waqat apne apko real account k trading main trading karte howe mehsos karen.