Tasuki Gap Up Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Tasuki Gap Up Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Tasuki Gap Up Pattern


    Tasuki gap up pattern price chart main banne wala aik three candles ka bullish trend continuation pattern hai, jo k bullish trend ya high prices area main banta hai. Candlesticks charts aik technical tool hen, jo traders ko bohut aham trend k hawale se information deti hai. Candlestick ka currency pairs k technical analysis k leye bohut aham hen, jiss se traders na sirf in ka istemal dosre indicators k sath mela kar karte hen, bulkeh ye akele bhi aksar aik leading indicators ka kaam karte hen. Tasuki gap up pattern k pattern main pehli aur dosri candles bullish jab k last wali candle aik bearish candle hoti hai, jo k trend reversal karne ki nakam koshash karti hai. Tasuki gap up pattern k opposite direction main prices k bottom par bearish trend continuation k leye Tasuki gap down pattern pattern banta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1978).png
Views:	16
Size:	6.1 کلوبائٹ
ID:	12516163

    Candles Formation


    Tasuki gap up candlestick pattern teen candles par mushtamil aik bullish trend continuation pattern hai, jiss jo k top area main banne par assets k prices ko mazzeed bullish same trend main upward push karta hai. Tasuki gap up candlestick pattern do bullish aur aik bearish candles se mel kar banta hai, jiss ki tafseel darjazzel hai;

    Click image for larger version

Name:	images (1977).png
Views:	25
Size:	9.3 کلوبائٹ
ID:	12516164

    1. First Candle: Tasuki gap up candlestick pattern k pattern main pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k long real body main banti hai. Ye candle prices k maojoda bullish trend ko zahir karti hai, jo k shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai. Pattern ki pehli candle ki closing price open se above hona chaheye.

    2. Second Candle: Tasuki gap up candlestick pattern ki dosri candle bhi same bullish candle hoti hai, jo k pehli candle se upper gap main banti hai. Ye candle bhi shadow ya shadow k bagher ho sakti hai, jab k candle ki close price open price se ziada hona chaheye. Dosri candle ka pehli candle se upper side par gap main hona zarori hai.

    3. Third Candle: Tasuki gap up candlestick pattern ki teesri candle aik bearish candle hoti hai. Ye candle dosri candle ki real body main open ho kar pehli aur dosri candle k darmeyan banne wale gap main close hoti hai. Teesri candle ka close price open price se kam hona chaheye. Ye candle trend reversal karne ki nakam koshash karti hai.

    Explanation

    Tasuki gap up candlestick pattern prices k top main banne wale pattern upside gap three methods se melta julta hai, jiss main prices same bullish trend reversal ka sabab banti hai. Tasuki gap up candlestick pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jiss ka close price open price se ziada hota hai. Pattern ki dosri candle bhi bullish candle hoti hai, jo k pehli candle se ooper gap main banti hai. Pehli aur dosri candle k darmeyan banne wala gap wazih hona chaheye, yanni dono candles k shadows bhi gap main nahi ana chaheye. Pattern ki teesri candle aik bearish candle hoti hai, jo k dosri candle k real body main open ho kar pehli aur dosre candle k darmeyan banne wale gap main close hoti hai. Bearish candle pehli aur dosri candle k darmeyan banne wale gap ko pora cover nahi kar pati hai, jiss se trend reversal nakam ho jati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (656).jpeg
Views:	23
Size:	11.7 کلوبائٹ
ID:	12516165

    Trading

    Tasuki gap up candlestick pattern price chart main banne par traders ko bullish k tasalsul ka signals deta hai, jiss par market main buy ki entry ki ja sakti hai. Pattern par trading se pehle aik confirmation candle ki zarorat hoti hai, jo k real body main bullish honi chaheye aur agar ye candle teesri candle k top par close hoti hai, to ye aur bhi reliable pattern hota hai. Pattern k baad bearish candle banne par trade ki entry nahi karni chaheye. Pattern ki trend confirmation indicators se bhi ki ja sakti hai. CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator par value oversold area main hona chaheye. Pattern k bottom par Stop Loss ka hona zarori hai, jo k patterns k sab se lower position ya pehli candle ki open point se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (655).jpeg
Views:	2
Size:	4.0 کلوبائٹ
ID:	12516162

اب آن لائن

Working...
X