Homing Pigeon Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Homing Pigeon Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Homing Pigeon Candlestick Pattern


    Homing pigeon candlestick pattern assets ki iss baat ki taraf ishara karti hai, k ab market main sellers ka control buyers k hathon jane wala hai. Pattern main shamil candlestick aghaz main aik bari bearish candle hoti hai, jo k downtrend ki mazboti ki alamat hoti hai. Lekin dosri candle size main small hone aur pehli candle k darmeyan main banne par ye prices ko mazeed downward jane main rukawat dalti hai, bawajood iss k keh ye bhi aik bearish candle hoti hai. Pattern low price area main uss waqat banta hai, jahan par assets ki demand ziada ho chuki hoti hai aur supply bohut kam increase howi hoti hai. Supply ki kami ki waja se assets ki value main increasing ki waja se prices bhi bharna shoro karti hai. Jiss se price chart par homing pigeon candlestick pattern banta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (652).jpeg
Views:	2
Size:	7.2 کلوبائٹ
ID:	12516114

    Candles Formation


    Homing pigeon candlestick pattern prices k bottom par banne ki waja se aik strong bullish trend ki indication deta hai, jo k do candle ka aik simple sa pattern hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (1969).png
Views:	38
Size:	1.4 کلوبائٹ
ID:	12516115

    1. First Candle: Homing pigeon candlestick pattern ki pehli candle aik strong real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka color bhi bearish pattern k mutabiq black ya red hota hai. Ye candle prices k bottom ya high price main bearish trend ka mazeed izzafe ki koshash hoti hai.

    2. Second Candle: Homing pigeon candlestick pattern main shamil dosri candle aik small real body wali hoti hai, jiss ka open aur close same point par nahi hona chaheye. Ye candle bhi aik bearish trend wali banti hai, jiss ka color black ya red hota hai. Ye candle pehli candle k andar banti hai.


    Explanation

    Kisi bhi assets ki value bohut ziada down hone par aksar usko trend reversal ka samna karna parta hai, issi tarah same homing pigeon candlestick pattern main bhi hota hai, jiss main prices low area ya bearish trend k baad bullish trend reversal main tabdeel hoti hai. Homing pigeon candlestick pattern two days candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, jiss k real body lazmi hoti hai aur iss candle ka open close se upper hota hai. Pattern ki dosri candle bhi aik bearish candle hoti hai, lekin ye candle small real body main hoti hai, jo k pehli candle k real body main banti hai, yanni iss candle ka open, close, high aur low sabhi points pehli candle k open close k darmeyan main hote hen.
    Click image for larger version

Name:	images (1968).png
Views:	35
Size:	5.7 کلوبائٹ
ID:	12516116

    Trading

    Homing pigeon candlestick pattern trading k leye aik moasar candlestick pattern hai, jiss par market main buy ki entry ki ja sakti hai. Trade k enter karne se pehle market ka low price area ya bearish trend main hona zarori hai, jab k small bearish candle k baad aik trend confirmation candle ka hona zarori hai. Confirmation candle ka bullish hona lazmi hai, jo dosri candle k top par close honi chaheye. Pattern ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main hona chaheye. Stop Loss pattern k sab se low position ya pehli bullish candle k lower price se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (653).jpeg
Views:	31
Size:	32.6 کلوبائٹ
ID:	12516113

اب آن لائن

Working...
X