Stalled Bearish Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Stalled Bearish Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Stalled Candlestick Pattern


    Stalled candlestick pattern aik bearish trend reversal pattern hai, jo prices k top par ya ziada buying k baad market main buyers k control ki kamzori ko zahir kia jata hai. Ye pattern teen bullish ya white candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli, dosri aur teesri teeno candles bullish candles hoti hai. Ye candles lagatar higher high par close hoti hai. Pattern ki pehli aur dosri candles strong bullish candles hoti hai, jab k teesri candle aik small real body wali ya Spinning top bullish candle hoti hai. Spinning top candle dosri candle k qareeb ya gap dono tarah se ho sakti hai, jo k top trend ko mazeed bullish jane main rukawat banti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1937).png
Views:	24
Size:	1.5 کلوبائٹ
ID:	12516011

    Candles Formation


    Stalled candlestick pattern main shamil teeno candles ka bullish hone k bawajood bhi ye pattern aik bearish trend reversal pattern hai. Ye pattern prices k top par banta hai, jiss se prices teezi k sath bearish jati hai. Pattern k teeno bullish candles ki formation darjazel tarah se hoti hai:

    Click image for larger version

Name:	images (639).jpeg
Views:	2
Size:	18.5 کلوبائٹ
ID:	12516012

    1. First Candle: Stalled candlestick pattern ki pehli candle aik strong ya long real body wali bullish candle hoti hai. Ye candle color main white ya green hoti hai, jo k bullish trend ki mazboti dekhati hai. Ye candle shadow samet ya bagher upper aur lower shadow ki bhi ho sakti hai.

    2. Second Candle: Stalled candlestick pattern main shamil dosri candle bhi pehli candle ki trah same bullish candle hoti hai, jiss ka upper aur lower side par ziada tar koi wick ya shadow nahi hota hai, lekin small si wick ho sakti hai. Ye candle pehli candle k barabar ho sakti hai. Ye candle bhi white ya green color main hoti hai, jo pehli candle k top par close hoti hai.

    3. Third Candle: Stalled candlestick pattern main teesri candle same white ya green color wali candle hoti hai, lekin ye candle aik small real body wali hoti hai. Ziada tar ye candle aik Spinning top candle hoti hai, jo k dosri candle se gap main ya uss k qareeb top par banti hai. Ye candle strong body main na hone ki waja se trend reversal ka sabab banti hai.

    Explanation

    Stalled candlestick pattern aghaz main strong buyers pressure ki waja se banta hai, jiss main shamil teeno candles bullish hoti hai. Pattern ki pehli aur dosri candles ziada tar bagher wick ya shadow ki hoti hai, lekin teesri candle small size main bullish Spinning top candle hoti hai. Stalled candlestick pattern prices k top par ya bullish trend main banne k baad prices ko teezi k sath downward ki taraf pressurized karti hai. Iss pattern main pehli aur dosri candles teesri candle ki nisbat real body main bari hoti hai. Pattern k aghaz main prices teezi k sath bullish move karti hai, lekin baad main buyers ki adam dilchaspi ki waja se pattern k top par aik Spinning top candle banti hai, jo k prices ko mazeed bullish jane se rokhti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1936).png
Views:	3
Size:	23.2 کلوبائٹ
ID:	12516013

    Trading

    Stalled candlestick pattern teen bullish candles hone k bawajood bhi bearish trend reversal pattern hai, jiss par traders market main sell ki entry kar sakte hen. Pattern k baad confirmation candle ka hona zarori hai, jo k indicator se bhi asani se trend confirmation ki ja sakti hai. Confirmation candle ka bearish real body main hona chaheye, jab k CCI oscillator aur Stochastics oscillator main value overbought zone main hon to uss waqat ye pattern ziada payedar k sell k signals de sakta hai. Pattern k baad white candles banne se iss k asarat mutasir ho sakte hen. Stop Loss pattern k sab se top side ya teesri candle k high se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (1938).png
Views:	8
Size:	11.3 کلوبائٹ
ID:	12516014
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Stalled Bearish Candlestick Pattern

    Stalled Pattern


    Stalled candlestick pattern teen candles par mushtamil aik bearish trend reversal pattern hai, jo k prices k top ya bullish trend k baad banta hai. Ye pattern teen bullish candles par mushtamil hota hai, lekin akhari small real body candle ki waja se pattern continuation pattern ki jagah bearish trend reversal pattern ka kaam karta hai. Stalled pattern ko "Deliberation Pattern" bhi kaha jata hai. Stalled Stalled me shamil teeno candles white real body wali honi chaheye, jis me 1st aur 2nd candle ki real body bare size me honi chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (1963).png
Views:	1
Size:	4.0 کلوبائٹ
ID:	12379761

    Pattern ki Pehchan ka Qayeda:
    1. Stalled pattern k leye market me pehle se high prices area ya bullish trend ka hona zarori hai.
    2. Pattern me teen white candles shamil hongi, aur har aik high-close honi chaheye (candles ki close price lazmi open price se ziada honi chaheye).
    3. 1st aur 2nd candle bari real body wali candles honi chaheye.
    4. Pattern me shamil 3rd candle ki real body small (spinning top candle) honi chaheye, baaz dafa ye candle 2nd candle se uper gap me bandi hai.


    Click image for larger version

Name:	IMG_20220323_123508.png
Views:	1
Size:	7.0 کلوبائٹ
ID:	12379762

    Pattern ki Tafseel:

    Stalled aik bearish trend reversal pattern hai jo k teen candles par mushtamil hota hai. Pattern ki formation same "Three White Soldier Pattern" ki tarah hoti hai, lekin is ki akhari candle aik small real body wali white hoti hai, jo ziada tar Spinning top ya doji candle bhi ho sakti hai. Pattern me shmail 1st aur 2nd candles aik lambi real body wali white candles hoti hen, jo market me buying pressure dekhati hai. Pattern me shamil teeno white candles high pe close hoti hai. Pattern me banni wali 3rd candle aik small real body wali hoti hai aur aksar ye candle aik Spinning top candle hi hoti hai, jo k 2nd candle k high k sath close ho jati hai. 3rd candle qeematon k buying pressure ko khatam karti hai, jis se market ka agla trend reversal ho jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (649).jpeg
Views:	33
Size:	10.8 کلوبائٹ
ID:	12379764

    Pattern pe Trading ka Amal:

    Stalled pattern bhi "Advance Block pattern" ki tarah Stalled pattern bhi bullish trend k khatme ka ishara deta hai, jo k 3rd number par banni wali spinning top candle se zahir hota hai. Stalled pattern agar high price area ya bullish trend k baad banta hai, to yahan se qeematon ka reversal hone k chances bohut ziada barh (increase) jate hen. Stalled pattern me 3rd candle k baad sell ki entry karni chaheye. Trend confirmation k leye 4rth candle ka intezar karna chaheye, agar wo bearish banne k baad 2nd aur 3rd candle k lower close hoti hai, to is se trend reversal ka amal mukamal hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1961).png
Views:	4
Size:	16.4 کلوبائٹ
ID:	12379760

    اب آن لائن

    Working...
    X