Take Profit aur Stop Loss Kitna Zaruri Hai forex market mai ..
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Take Profit aur Stop Loss Kitna Zaruri Hai forex market mai ..
    Introduction

    Jab ham forex market main trade ker rehy hoty hain tou hamain all the time market main present rehna perta hai jabky continue forex market main trade kerty kerty ham mentally tired bhi ho jaty hain ky kabhi kabhi aesa bhi hota hai ky market hamari favour main movement ker chuki hoti hai lekin ham trade close nehi kerty aur market kuch time period ky bahd reverse ho jati hai hamara hasil shuda profit bhi loss main badal jata hai aur hamain continue loss hoty hoty hamara account bhi wash ho jata hai isi terha ham trade open kerty hain aur hamain loss hona shoru ho jata hai ham loss main run kerny wali trade ko stop nehi kerty tab bhi loss increase hoty hoty hamara account wash ho jata hai isky elawa agar hamari trade open hoti hai lekin hamain market ko close kerna perta hai tab bhi hamari presence na hony ki waja sy hamara account loss increase hoty hoty wash ho jata hai ya phir market hamari favor main move ker chuki hoti hai aur ham trade ko close nehi ker paty aur market dobara reverse ho chuki hoti hai tou aesi surat sy bachny ky liay ham apni her open ki jany wali trade main profit ka target set ker dety hain aur loss ki limit set ker lety hain ky jab market profit ky target tak ponch jaey tou hamari trade profit main close ho jaey aur jab loss ki limit tak ponch jaey tab bhi limited loss main hamari trade close ho jaey aur ham bary loss ya account wash sy bach jaen

    Take Profit aur iski setting

    Take Profit forex market main trade kerny ky liay aesa tool hai ky jab ham take profit set kerty hain tou phir hamara market main present rehna zaruri nehi hota aur jab market hamary target tak ponchti hai tou hamari trade automatically profit main close ho jati hai jesy ham kisi pair main sell ya buy ki trade open kerty hain tou ham kuch pips calculate ker ky profit ky liay aik target choose kerty hai tou same pips per ham jo profit ka target set kerty hain usko take profit kehty hain

    Click image for larger version

Name:	take_profit.jpg
Views:	2
Size:	62.0 کلوبائٹ
ID:	12515925

    Stop Loss aur iski setting

    Stop loss bhi trading main loss ko limit kerny ky liay use kia jany wala bahot hi important tool hai jis sy ham apni open trade main hony waly loss ko bhi aik limit per close ker sakty hain ky jab ham kisi bhi pair main trade open kerty hain aur same pair main agar ham aik aesy point ko choose ker lety hain jahan per ham stop loss set kerty hain tou jab ham mentally tired hon ya market main present na bhi hon tab bhi market jab same loss ki limit tak ponch jati hai tou wahan per trade close ho jati hai aur hamara loss limit tak hota hai account wash hony sy bach jata hai

    Click image for larger version

Name:	Learn_Forex_How_Ichimoku_Tells_You_Why_When_To_Trade_USDCHF_body_Picture_1.png
Views:	1
Size:	83.3 کلوبائٹ
ID:	12515926

    Stop Loss aur Take Profit ki Importance

    Hamari trading ky liay yeh bahot important hai ky ham apni her open ki jany wali trade main stop loss aur take profit set ker lia kerain ky market kisi bhi time per kisi bhi direction main big movement ker sakti hai tou aesy time per agar ham ny both stop loss aur take profit set kia hua hota hai tou hamara profit ka target bhi achieved ho sakta hai aur stop loss hit hony per hamari trade limited loss main hi close ho jati hai jabky stop loss aur take profit set na hony ki waja sy ham profit ky chance ko bhi zaya ker sakty hain aur loss increase hoty hoty hamara account wash bhi ho sakta hai

اب آن لائن

Working...
X