Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish Railway Track Candlestick Pattern
Japanese candlestick pattern baar chart aur line charts pattern ki nisbat ziada aur accurate information deti hai. Ye candles price chart par mukhtalif pattern k bante hen, jiss se analyst apne analysis k mutabiq results hasil karte hen. Candlesticks pattern ko traders analysis main as leading indicators k istemal karte hen, jo low ya high area se trend reversal ka sabab bante hen. Bullish railway track candlestick pattern two days candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jiss main shamil dono candles opposite formate ya trend k hote hen. Ye pattern prices k bottom ya bearish trend main bearish uar bullish candles se mel kar banta hai, jo uptrend ki indications deta hai.
Candles Formation
Prices charts main shamil trend reversal pattern aksar candle ziada opposite direction main hote hen, jo k apne se pehle candle k asarat ko zayel karte hen, issi tarah se bullish railway track candlestick pattern bhi do opposite color k candles par mushtamil hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bullish railway track candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, ye candle long real body, small body, shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai. Ye candle color main black ya red hoti hai, jo k prices k downtrend ya low prices ka ishara deti hai.
2. Second Candle: Bullish railway track candlestick pattern ki dosri candle pehli candle k opposite yani bullish candle hoti hai, jo k kisi bhi formate main ho sakti hai. Dosri candle ka low price same pehli candle k low price se match hona lazmi hai, jo k candle ka shadow bhi ho sakta hai. Ye candle white ya green color main hoti hai.
Explaination
Bullish railway track candlestick pattern ki two days ka aik opposite candles wala bullish trend reversal pattern hai, jis main candles ka low same point ya price par hota hai. Pattern main shamil candles ki real body kisi khas pattern ya shap main hona zarori nahi hai, jo k long real body, small real body, long shadow ya bagher shadow ki bhi ho sakti hai. Ye candles same lower point par banne wale Matching low candlestick pattern ki tarah dekhta hai, jo same bullish trend reversal pattern hai lekin uss main shamil dosri candle bhi same bearish hoti hai. Bullish railway track pattern main candles prices ka double low pattern banati hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai.
Trading

Price chart par jab prices baar baar same price se baar baar reject ho jati hai, ye position support ya resistance level ban jata hai. Bullish railway track pattern main bhi candles same bottom point ko double time touch karti hai, jo k prices k leye aik strong support level ban jata hai. Pattern par trading se pehle pattern ka long timeframes main hona zarori hai. Jab k trend confirmation white candle ka real body main bhi banna chaheye. Pattern k confirmation k leye CCI indicator aur Stochastic oscillator ka istemal karna chaheye, jiss par value oversold zone main hona chaheye, jo k low prices ka indication hoga. Stop Loss pattern k sab se lower side ya dono candles k support level se two pips below set karen.