Retracement and Reversal
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Retracement and Reversal
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Forex trading market main prices ziada tar two levels jiss ko aam tawar par support and resistance levels kaha jata hai, k darmeyan trade kar rahi hoti hai, lekin ye levels hamesha k leye barqarar nahi rehti hai, bulkeh kabhi na kabhi ye lazmi breakout hoti hai. Jab bhi ye levels breakout hoti hai, to uss sorat main prices k pass do directions hote hen, k ya to wo breakout wale trend par musalsal (continuation) harkat karna shoro karti hai aur ya ye breakout arzi hota hai, yanni prices wapis support ya resistance levels k darmeyan ati hen. Prices k apne levels main wapasi k leye do terms istemal hote hen, jiss main aik ko reversal jab k dosre ko retracement kaha jata hai. Reversal aur retracement kia haen aur in k darmeyan kia difference hai uss ki tafseel darjazzel hai;

    Click image for larger version

Name:	images (1829).png
Views:	4
Size:	9.5 کلوبائٹ
ID:	12515543

    Retracement


    Retracement aik trend k khelaf prices ka temporary harkat hai. Retracement temporary harkat hone ki waja se iss ka matlab hai k ye short term harkat hoti hai, jiss main prices wapis apni asal semat main wapis a jati hai.
    Retracement ziada strong nahi hota hai, q k iss main prices ka trend badal jane main nakami hoti hai. Retracement agar bullish trend main ho ye bearish hongay jab k bearish trend main retracement bullish hongay. Retracement k pass pori trend k change karne ki salaheyat nahi hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1828).png
Views:	2
Size:	16.9 کلوبائٹ
ID:	12515544

    Example: EURUSD ki prices aik bullish trend par trade kar rahi ho, aur wo maojooda trend k mutabiq 1.1250, 1.1300, 1.1295, 1.1350 1.1345, aur 1.1400 point ko touch karte howe up-trend par move kar rahi hoti hai. Lekin hamesh kabhi bhi aisa nahi hota hai, k ye prices musalsal aik k baad aik point ko touch karke upward jati ho. Hamesha jab bhi prices aik upeard point jaise 1.1250 k baad 1.1300 ko touch karti hai, to iss k baad prices direct 1.1350 ko touch nahi karti, bulkeh iss darmeyan prices lazmi thora sa nechay ko a jati hai aur wo 1.1295 ko touch karke pher se upward 1.1350 point ki taraf jati hai. Ye 1.1290 ka point tak prices ka ana aur wapis upward jana prices k leye retracement kehlata hai.

    Reversal


    Reversal ka amal retracement se mukala mukhtalif hai, jiss main prices temporary turning ki bajaye mukamal trend ko change kar deta hai. Agar prices pehle se bullish trend par ja rahi hoti thi to reversal ki waja se wo bearish trend main badal jati hai.
    Reversal long term aur ziada strong reaction dekhati hai, q k iss main prices ka wapis nahi ana hota hai. Alabata reversal main prices k leye retracement main ho sakte hen, q k reversal aik long term trend reversal hota hai, jab k retracement short term hota hai, to retracement reversal ka juzz ho sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1827).png
Views:	15
Size:	17.2 کلوبائٹ
ID:	12515545

    Example: Reversal ka asar trading main bohut ziada der tak hota hai. Agar EURUSD bullish trend par move kar rahi hoti hai, aur uss ki current price 1.1300 ho, lekin 1.1350 tak prices jane k baad return ho kar bearish ye nechay ki taraf move honna shoro karti hai aur 1.1250, 1.1200, 1.1150 aur 1.1100 k point ko choti howi down-trend harkat karti hai, to ye prices ka 1.1350 point se reversal kehlayega. Reversal trend main prices aik khas resistance point se reject hone k baad ziada der tak opposite direction main chalti rehti hai, aur ye trend uss waqat tak barqarar rehta hai, jab usse dobara kisi reversal ka samna nahi karna parta.

    Difference Between Retracement and Reversal
    • Retracement:
      1. Retracement prices ka temporary return hota hai, yanni iss dowran prices maojooda trend k opposite direction main chalna shoro karti hai.
      2. Retracement up-trend main higher high aur downtrend main lower low banati howe harkat karti hai. Taqreeban ye higher high ya lower low length main same hoti hen lekin upward ya downward hote hen. Retracement main trend continuation pattern bhi shamil ho sakti hai.
      3. Retracement aik long term tabdeeli hai.
      4. Retracement main traders apne orders ko close nahi karte hen, q k prices ne wapis ana hota hai.


      Click image for larger version

Name:	images (1830).png
Views:	4
Size:	12.4 کلوبائٹ
ID:	12515550
    • Reversal:
      1. Reversal retracement k bar akas prices k long term opposite movement hoti hai, jiss se prices maojoda trend k khelaf permanently direction tabdeel karti hai.
      2. Reversal aksar candlestick patterns ya support and resistance levels main dekha jata hai, jahan se prices complete apana behaviour tabdeel karti hai, ziada tar ye amal doji candles ya dosre trend reversal candles main hota hai.
      3. Reversal aik long term tabdeeli hoti hai.
      4. Reversal honne k baad trades apne trades close karte hen, q k prices ussi direction main mazzeed nahi jati hai.



    Trading

    Retracement : Retracements main trading k leye zarorri hai, k pehle market ki mukamal analysis ki jaye. Agar market trwnd confirmation ka signal deta hai, to uss sorat main retracement main trading karna ziada faidamand sabit ho sakta hai.
    Agar open trades hen to profit ki sorat main trades close nahi karne jab k loss ki sorat main retracement par apne open trades ko close karen, q k iss se loss main kami hoti hai.

    Reversal : Reversal par trading ziada faida mand hota hai, q k yahan se trend badal jata hai aur ye long term ki tabdeeli hoti hai. Reversal main market main confirmation karne k baad entry karen, stop loss ka zaror istemal karen aur agar pehle se trades open ho to profit ki sorat main uss ko close karen, jab k loss wale trares ko open rehne de.

    Click image for larger version

Name:	images (1831).png
Views:	9
Size:	32.7 کلوبائٹ
ID:	12515551

اب آن لائن

Working...
X