Piercing Line Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Piercing Line Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Piercing Line Candlestick Pattern


    Piercing line candlestick pattern main dosre din ki candle previous din ki candle k bottom par gap main open ho kar ussi k midpoint se above close hoti hai. Piercing line candlestick pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik bearish candle hoti hai, jab k dosre din ki candle aik bullish candle hoti hai. Pattern ki dosre din ki bullish candle pehli din ki bearish candle k current trend k asarat ko kam karti hai, ynni bullish candle bearish candle k lower side par gap main khulti hai, jab k close ussi se darmeyan main open point se pehle hoti hai. Pattern ki bullish candle bearish candle se nechay gap main open hoti hai, lekin ye gap bullish candle ki real body se cover hota hai, jiss ka iss waja se andaz ya clear nazar nahi ata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1804).png
Views:	59
Size:	10.2 کلوبائٹ
ID:	12515399

    Candles Formation


    Piercing line candlestick pattern main shamil candles bearish aur bullish pattern ki hoti hai, jo k prices k bullish trend reversal k leye istemal hota hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k lower par open ho kar ussi k real body main close hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	09-Piercing_Line-01-300x300 (3).png
Views:	12
Size:	2.0 کلوبائٹ
ID:	12515400

    1. First Candle: Piercing line candlestick pattern ki pehli candle market k current trend k mutabiq aik bearish trend hoti hai, jiss ka close price open price k se nechay hota hai. Bearish candle shadow samet ya uss k bagher ho sakti hai, jo k real body main hoti hai.

    2. Second Candle: Piercing line candlestick pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k bottom par gap main open ho kar ussi k real body k centre se above par close hoti hai. Dosri candle lazmi real body main main honi chaheye aur pehli candle k open point se pehle close honi chaheye.

    Explanation

    Piercing line candlestick pattern price chart par uss waqat banti hai, jab bhi sellers market main dilchaspi lena kam kar dete hen. Ye pattern prices k top par ya bearish trend main ban kar market ka trend bullish reversal bana deta hai. Pattern main shamil dono candles real body main honi chaheye, jiss main dosri candle pehli candle se se nechay gap main open hoti hai. Pattern ki banne ki psychology kuch iss tarah se hai, jiss main sellers price ko pehle nechay push karte hen, jiss se bullish candle bearish candle se nechay gap main open hoti hai, lekin baad main sellers ki prices k bottom main mazeed dilchaspi nahi rehti hai, aur ussi waqat buyers market main ziada active ho jate hen. Baaz dafa ye pattern koi strong news release hone k baad prices k bottom main banta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (562).jpeg
Views:	1
Size:	29.4 کلوبائٹ
ID:	12515401

    Trading

    Piercing line candlestick pattern trading k leye aik strong bullish signal deta hai, jiss se buyers market main entry karte hen. Pattern k baad aik bullish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main honne k sath sath dosri candle k top par close honi chaheye. Lekin bearish candle banne ki sorat main trade entre karne se parhez karen. Trend confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main honi chaheye. Pattern do candles ka hota hai, iss waja se stop loss ka istemal zarori hai. Stop Loss pattern k sab se lower position ya dosri candle k open price se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (1803).png
Views:	40
Size:	5.1 کلوبائٹ
ID:	12515398

اب آن لائن

Working...
X