Complete information about Dovish and hawkish

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Complete information about Dovish and hawkish
    Explanation.

    Friends Dovish aur hawkish central banks, central banks ki report mein tone ko kehtay hain Central banks kisi bhi mulk ki economy ko shape detay hain aur interest rates, inflation deflation ka control, valuation aur devaluation jesay important kam kartay hain, to jab central banks ki meeting hoti ha to traders un ki taraf bohot ghor se mutawaja hotay hain kyun k central banks ki report ki roshni mein market move karti ha. For example, agar central banks ki speech mein chairman ki tone aggressive hoti ha aur w rates barhanay ka kehtay hain, to is ko hawkish kaha jata ha aur is se mulki maeeshat par achay asaraat hotay hain. Agar rates cut karnay ka kehtay hain to ye Dovish kehlata ha aur is se mulki maeeshat par manfi asar parta ha.

    Click image for larger version

Name:	hawkish-vs-dovish-and-forex-trading_body_hawskish-dovish-policies.jpg.full_.jpg
Views:	2
Size:	58.4 کلوبائٹ
ID:	12515140

    What is Hawkish:

    Friends Jab central banks iss tarha ka ishaara dein k wo inflation ko control karna chahte hain ya increase hone sy bachna chahte hai to wo interest rates increase karne ka ishara hota ha aur iss ko hawkish kehte hain.

    Click image for larger version

Name:	grade14-hawks-vs-doves.png
Views:	2
Size:	28.7 کلوبائٹ
ID:	12515141

    What is Dovish:

    Friends Jab central banks iss tarha ka ishaara dein k interest rates decrease karne wale hain to issko dovish kehte hain.

    Click image for larger version

Name:	7c6888_a3d3c2a50009414a8c10793692fde0d5_mv2.jpg
Views:	2
Size:	119.5 کلوبائٹ
ID:	12515142

    Note

    Kisi bhi mulk ki economy ko stable rakhna central banks ki zimmedari ha aur wo aisa aik policy kay tehet kartay hain jisay Monetary Policy kaha jata ha. Agar central banks ye ishara dein kay wo Interest rate ko Increase karne wale hain, to is se currency stable hoti ha, economic growth slow hoti ha aur inflation nahi barhti. Is ko Hawkish kaha jata ha. Agar central banks ye ishara dein kay wo interest rate kam kar rahay hain to is ka matlab currency par manfi asar, economic growth mein tezi, aur deflation ka control ha. Is ko Dovish​ kaha jata ha.Central banks rates barhanay se pehlay press conference kartay hain aur us mein hawkish ya dovish ishara hota ha, jis se market mein movement ati ha aur traders hawkish ya dovish kay nateejay mein honay wali changes par trade kartay hain lekin actual decision mukhtalif bhi ho sakta ha, jis se market mein yak dam change aa jata ha, aur bohot se traders ko bara loss ho jata ha.

اب آن لائن

Working...
X