Japanese Candlesticks Istemal karne se Pehle k Zarori Hedayat
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Japanese Candlesticks Istemal karne se Pehle k Zarori Hedayat
    Rules for Japanese Candlesticks


    Forex trading market main din ba din izzafa hotta jatta raha hai. World ki top markets ko mela kar bhi ye wahid forex traka muqabella nahi kar saktte hen. Forex trading main hjahan trillions of dollar investment hotti hai, wahan par ye aik bohut ziadda riski karobar bhi hai. Forex trading market k risk ko trader ya analyst market main technical analysis ki maddad se kam karnne ki koshash kartte hen.
    Forex trading main aap logon ne zarror candlestick ki mukhtalif formates aur pattern k baare main information hasil ki hoggi, jo k technical analysis main istemal hotte hen. Kamyyab traders kabhi bhi simaple aik candle par trading (buy and sell) nahi karte hen, bulke wo ziadda tar technical indicators par trading karne ko tarjeeh dette hen. Japanese Candlesticks k hawale se kuch zarorri information ya rules darjazel hai, jiss ko lazzmi folow karne chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (497).jpeg
Views:	1
Size:	14.9 کلوبائٹ
ID:	12514840

    1. Hamesha Maojooda Trend ki Analysis karen:

    Japanese Candlesticks patterns ki value mukammal zerro hotti hai, aggar ye market k mojjoda trend k muttabiq nahi hai. Market ki trend bullish, bearish ka ho saktta hai, aur ya ye consolidation marhale main ho saktti hai. Japanese candlesticks market main dosrre charts (bar chart aur line) ki nisbbat ziadda behtar aur reliable malommat detti hai.

    2. Japanese Candlesticks Pattern ka ekele Estemal Zarorri na Samjhen:

    Ziadda tar Japanese candlesticks chart pattern ki nisbaat kam reliable, accurate aur kam kamyyab hotti hai. Japanese candles par buy aur sell k leye as a signal estemal karnna bohut ziadda fake ya false signal genrate kartti hai. Yahan tak k prices ka take profit aur stop loss k bare main bhi koi wazzeh information faraham nahi karte hen. Trader Japanese candlesticks ki bajjaye chart patterns, technical indicators aur dosre technical tools trading k leye technical analysis k ta2ar par istemal karnne chaheye.

    3. Important Position par Candlestick ka Istemal karnna:

    Technical analysis ki maddad se maloom ki jane wale support aur resistance levels jahan se mummkina tawar par trend main tabdeeli atti hai, wahan par candlestick ki impotace barh jatti hai. Support aur resistance levels par bulls aur bears ka apas main trend k leye teezi ki koshash rehtti hai, aur ye market main muttaleqa stock k volum ki waja se hotta hai, volum ki sahi position aur trend ki semat ka tayyun yahan par candlestick ki maddad se mumkin hai.

    4. Hamesha Confirmation ka Intezar karna Behtar hai:

    Japanese Candlesticks ki confirmation iss baat se ki jatti hai, jab chart ki aggli candle ussi trend k muttabiq yanni continuation ya trend reversal ki bantti hai. Pattern ka banna andazze se nahi karna chaheye, q k market main bohut ziadda risk honne ki waja se false signal genrate hotte hen.

    5. Aik Waqat main Ziadda Time Units ka Jayyeza len:

    Forex trading ki technical analysis main ziadda timeframes k chart units ka analysis kia karen, ye aap ko market main ziadda achahy chart, achahy signals aur semat battate hen. Yanni long timeframes ka chrt pattern achahy buy aur sell k signals detta hai.

اب آن لائن

Working...
X