Descend Block Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Descend Block Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Descend Block Candlestick Pattern


    Descend block candlestick pattern prices k bottom par ya bearish trend main uss waqat banta jab sellers ki market main ahesta ahesta dilchaspi khatam hoti rehti hai. Ye pattern teen bearish candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai. Ye candle aik strong real body wali hoti hai, jiss ka upper aur lower side par shadows ya wick bohut small hote hen. Pattern ki dosri candle bhi bearish candle hoti hai, jiss ki real body small hoti hai, jab k shadow lamba hota hai. Pattern li last candle aik hammer candle hoti hai. Descend block candlestick pattern prices k top main banne wale advance block pattern ka opposite hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1686).png
Views:	9
Size:	3.0 کلوبائٹ
ID:	12514731

    Candles Formation


    Descend block candlestick pattern teen bearish candles par mushtamil hota hai, jiss ki formation bhi three black crows candlestick pattern se melti julti hai, lekin iss main shamil candles main shadow thora sa ziada hota hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (1683).png
Views:	21
Size:	1.4 کلوبائٹ
ID:	12514732

    1. First Candle: Descend block candlestick pattern ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai. Ye candle ziada tar bagher wick ya shadow k hoti hai, jo k black ya red color main hoti hai. Pattern prices k pehle se a rahe downtrend trend ki taraf ishara karta hai.

    2. Second Candle: Descend block candlestick pattern ki dosri candle bhi bearish candle hoti hai, lekin ye candle small real body main hoti hai, jiss k sath lamba shadow hota hai. Ye candle prices ko pehli candle ki tarah teezi se bearish push nahi karti hai.

    3. Third Candle: Descend block candlestick pattern ki teesri candle aik hammer candle hoti hai. Ye bhi pehli do candles ki tarah bearish candle hoti hai, lekin ye candle unn ki nisbat bohut small real body main hoti hai. Candle ka shadow lower side par ziada hota hai, lekin small si wick upper side par bhi mumkin hai.

    Explanation

    Descend block candlestick pattern prices k bearish ya bottom trend ko bullish trend reversal main badalne ka kaam karta hai. Ye pattern three black crows pattern ki tarah teen bearish candles par mushtamil hota hai, lekin uss k bar aks bullish trend ka kaam karta hai. Descend block candlestick pattern ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k ziada tar bagher shadow k ya small wick k sath hoti hai, ye candle prices main bearish trend ki mazboti ka ishara deti hai. Pattern ki dosri candle aik bhi bearish candle hoti hai, lekin pehli candle se size main kam hoti hai. Ye candle shadow k sath hoti hai, jo k ziada tar iss k lower side par banta hai. Pattern ki last candle aik hammer candle banti hai, jiss ka lower side par aik long shadow hota hai, jo k prices k trend reversal ka sabab banti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1684).png
Views:	16
Size:	1.3 کلوبائٹ
ID:	12514733

    Trading

    Descend block candlestick pattern buyers ko market main entry ka moqa deta hai, jiss main wo market main bullish candle k baad entry karte hen. Bullish candle trend confirmation k leye zarori hai, jo k real body main honi chaheye. Pattern ki teesri candle prices ko mazeed bearish jane se reject karti hai, jo k aik small bullish body create karti hai. Ye candle bearish candle hone k bawajood bhi bullish trend reversal ka kaam karti hai. Trade entry CCI indicator aur Stochastic oscillator se bhi confirm ki ja sakti hai. Jab k Stop Loss pattern k sab se bottom position ya hammer candle k lower price se two pips below par set kia ja sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (489).jpeg
Views:	2
Size:	22.7 کلوبائٹ
ID:	12514734

اب آن لائن

Working...
X